kab talak azmat-e-aflaak ke
gun gaaoge
azmat-e-khaak se inkaar
karoge kab tak
for how long will you keep singing
praises for heavenly gods
for how long will you keep denying
human greatness
Theme:Religion, Reason & Tradition (48)
iqraar mein kahaan hai
inkaar ki si khoobi
hota hai shauq, ghalib
us ki naheen naheen par
where is the refusal's fun
in ready acceptance
so much charm there is, ghalib,
in her repeated rejections
Theme:Beauty, Charm & Union (84)
saahil ke sukoon se
kise inkaar hai lekin
toofan se laDne mein
mazaa aur hi kuchh hai
who will refuse
the comfort of a safe shore
but the joy of fighting a storm
is something else
Theme:Grit, Resilience & Courage (36)
ye adaayen, ye ishaare
ye haseen qaul-o-qaraar
kitne aadaab ke parde
mein hai inkaar ki baat
these manners, these gestures
these beautiful words and promises
how a refusal is hidden
behind these layers of etiquette
Theme:Voice, Expression & Language (61)
bosa-e-rukhsaar par
takraar rahne deejiye
leejiye ya deejiye
inkaar rahne deejiye
please stop arguing
about a kiss on the cheek
either i give or you give
but pray do not refuse