8 Urdu ash'ar / shaayari (shers, couplets) containing the word:
1 / 8: zubaan
woh aur vaada wasl ka
qaasid naheen naheen
sach sach bata ye lafz
unhi ki zubaan ke hain
she and the promise of union
o messenger, it is not possible
tell me honestly, if these words
truly flowed from her tongue
0
0
1
100
2 / 8: zubaan
hota hai raaz-e-ishq-o-mohabbat
unhi se faash
aankhen zubaan naheen hain
magar bezubaan naheen
the secret of love and affection
is revealed through them
eyes are not tongues
but they are not voiceless either
0
0
0
4.0K
3 / 8: zubaan
izhaar pe bhari hai
khamoshi ka takallum
harfon ki zubaan aur hai
aankhon ki zubaan aur
the eloquence of silence
outweighs any expression
the language of words is one
the language of eyes is something else
0
0
1
4.6K
4 / 8: zubaan
hai fahm us ka jo
har insaan ke dil ki zubaan samjhe
sukhan wo hai jise
har shakhs apna hi bayaan samjhe
her/his understanding relates to
the language of every heart
and the speech is such that
we all feel it is our own voice
0
0
2
3.3K
5 / 8: zubaan
suroor zikr se masti
bayaan se aayegi
woh naam loonga toh khushbu
zubaan se aayegi
intoxication comes with
pleasant thoughts narrated well
if i say that name
fragrance flows off the lips
0
0
1
3.4K
6 / 8: zubaan
woh kehti hai hum unke husn ki
jhooti taareef karte hai
aye khuda bas ek din
aaine ko zubaan de de
she accuses me of
falsely praising her beauty
o god, if only you could give
the mirrors a voice for a day
0
0
1
4.5K
7 / 8: zubaan
kuchh ehsaas hain jo
zubaan par nahin aate
kuchh lamhe hain jo
dil mein hi reh jaate hain
there are some feelings
that do not find expression
there are some moments
that remain hidden in the heart
Theme: Heart, Mind & Memory (62)
0
0
2
3.2K
8 / 8: zubaan
dareecha baaz hai yaadon ka
aur main
hawa sunta huun
peDon ki zubaan se
the window of my memories
is wide open
i hear the breeze through
the language of the trees
0
0
0
1.8K
423 Shaayars
Urdu Poetry, Simply Told
classic Urdu shers with simple translations, poetic insights, and mini-dictionaries for every poetry lover...
A heartfelt collection of Classic Urdu shers...
Alfaaz Ki Mehfil is a curated space for timeless poetry celebrating words, emotions, and the enduring beauty of expression. From classic Urdu couplets to modern reflections, it brings together generations of poetic voices that speak of love, longing, hope, and the human soul.