53 Urdu ash'ar / shaayari (shers, couplets) on the theme:
ab hayaat-e-insaan ka
hashr dekhiye kya ho
mil gaya hai qaatil ko
mansab-e-maseehaayi
behold the condition
of human existence
the killer has been given
the status of a savior
0
0
0
34
zulm sahte rahe shukr karte rahe
aaye lab tak na ye dastaan aaj tak
mujh ko hairat rahi anjuman mein tere
kyun hain khaamosh ahl-e-zabaan aaj tak
enduring oppression, offering thanks
till now, the tale has not been told
i wonder why, in your assembly
the eloquent ones remain mute
0
0
0
15
jangal ke beech vahshat
ghar mein jafaa-o-kulfat
ai dil bata ki tere maare
hum ab kidhar jaan
terror stalks the jungle
cruelty and grief reign at home
o heart, my tormentor
show me where to find refuge
0
0
0
22
rang-e-mehfil chaahta hai
ik mukammal inquilaab
chand shamon ke bhaDakne se
sahar hoti naheen
the spirit of the gathering
demands a total revolution
a few candles lighting up
won't usher in the dawn
0
0
0
35
unhen ye fikr hai har dam
nayi tarz-e-jafaa kya hai
hamein ye shauq hai
dekhen sitam ki intehaa kya hai
they worry day and night about
inventing new methods of cruelty
while we are passionately keen
to see the limits of their tyranny
0
0
0
25
ho ruuh ke taain
jism se kis tarah mohabbat?
taair ko qafas se bhi
kahin ho hai mohabbat?
can the spirit truly
fall in love with the body?
can a bird ever feel
love for its own prison?
0
0
0
30
ek bulbul bhi chaman mein
na rahee ab ki fasl
zulm aisa hi kiya tu ne
aye sayyaad, ki bas
not even a single nightingale
remains in the garden this season
such was your tyranny,
oh hunter, what can one say?
0
0
1
9
taqleed ke khayaal ka
qaidi hai aaj bhi
zehn ke paaon ki zanjeer jo
kaaTe vo tabar paida kar
even today, you are a
prisoner of conformity
make the axe that breaks
the shackles of your intellect
0
0
3
46
kabhi kabhi to suna hai
hila diye hain mahal
hamaare aise ghareebon ki
iltijaaon ne
sometimes it is said that
even palaces tremble
at the pleas
of the poor like us
0
0
0
33
had se Takraati hai jo shai
woh palaTti hai zaroor
khud bhi roenge
ghareebon ko rulaane waale
anything that crosses a limit
is bound to strike back
those who make the helpless weep
will one day cry themselves
0
0
1
51
yazid-e-waqt hua
jis ghaDi se takht-nasheen
hamaare naam ke khanjar
har ik mein baaTne lage
the moment the tyrant
of our times ascended the throne
daggers bearing my name
began to be distributed to all
0
0
0
53
hijaab karne ki bandish
mujhe gawaara naheen
ki mera jism koyi
maal-e-zar tumhaara naheen
i reject the restriction
to wear a veil
my body is not a treasure of gold
for you to claim
0
0
1
45
takht vaale to
ho gaye maazool
barsar-e-iqtidaar
hain hum log
those who sat on thrones
were thrown out
we, the people
are at the helm of power
0
0
1
32
muflisi aur yeh mazaahir hain
nazar ke saamne
saikDon sultan-e-jaabir hain
nazar ke saamne
poverty, these scenes of destitution
right in front of my eyes
countless emperors of tyranny
right in front of my eyes
0
0
0
57
inquilaab ek khwaab hai
so hai
dil ki duniya kharaab hai
so hai
revolution is just a dream
and so it is
the world's heart is horrible
and so it is
0
0
0
43
khush aaye tujhe
shahr-e-munaafiq ki ameeri
hum logon ko sach kahne ki
aadat bhi bahut thi
may the wealth of the hypocrites
of the city bring you joy
but we also had the habit
of telling the truth
1
0
6
4.0K
woh bhi sar-e-maqtal hai
ki sach jis ka tha shaahid
aur waaqif-e-ahvaal-e-adaalat
bhi bahut thi
even they were at the site of execution
who bore witness to the truth
and she too was familiar
with the system of justice
0
0
2
2.9K
jo hain mazloom un ko to
taDapta chhoD dete hain
ye kaisa shahr hai zaalim ko
zinda chhoD dete hain?
the weak and the oppressed
are left to shiver and suffer
what kind of city is this
that lets the tyrants flourish?
0
0
0
2.1K
hazaaron zulm ho mazloom par to
chup rahe duniya
agar mazloom kuchh bole to
dahshat-gard kahti hai
when countless cruelties are inflicted
on the oppressed, the world stays silent
but when the oppressed dare to speak out
it calls them terrorists
1
0
1
1.7K
'majrooh' qaafile ki mere
daastaan ye hai
rahbar ne mil ke luuT liya
raahzan ke saath
of our caravans, majrooh,
the story is this
the ruler has looted us
joining hands with the robber
1
0
4
1.9K
kuch is andaaz se
sayyaad ne azaad kiya
jo chale chhuT ke qafas se
wo giraftaar chale
in such a way the captor
has set them free
they flew out of the cage
but are hostages still
0
0
2
2.7K
aashiyaan jal gaya gulsitaan lut gaya
hum qafas se nikal kar kidhar jaayenge
itne manoos sayyaad se ho gaye
ab rihaayi milegi to mar jayenge
home burned, the garden destroyed
where will we go, getting out of the cage
having gotten accustomed to the captor
we will only die if we get freedom now
0
0
0
3.1K
chhoti si baat pe khush hona
mujhe aata tha
par badi baat pe chup rahna
tumhi se seekha
i figured out myself
to be happy with little things
but to be quiet about big things
i learned from you
0
0
1
3.9K
munh tak bhi zoaf se
nahin aa sakti dil ki baat
darwaaza ghar se
saikDon farsang ho gaya
the heart's words don't
find voice even as a whisper
the door has become so
far away from the home
0
0
0
3.5K
kabhi sayyaad ka khaTka hai
kabhi khauf-e-khizan
bulbul ab jaan
hatheli pe liye baiThi hai
sometimes the fear of the hunter
or, concern of coming autumn
the nightingale waits, afraid,
holding its life in its hands
0
0
0
2.9K
sun raha hun abhi tak
main apni hi aawaz ki baazgasht
yaani is dasht mein zor se
bolna bhi akaarat gaya
i keep hearing just
the echo of my shouts
in this desolation, it is futile
no matter how loud i scream
0
0
1
2.9K
kaaT kar par mutmain
sayyaad beparwah na ho
ruuh bulbul ki
iraada rakhti hai parwaaz ka
having cut the wings
may the hunter not carelessly rest
the soul of the nightingale
is set on flying
0
0
1
2.7K
hava-e-zulm sochti hai
kis bhanwar mein aa gayi
vo ek diya bujha to
saikadon diye jala gaya
the wind of tyranny wonders
what vortex it finds itself in
as it snuffs out one lamp
a thousand lamps get lit
0
0
0
1.8K
raahzan hai mera rahbar
munsif hai mera qaatil
sehlu toh qayaamat hai
kehdu toh bhagaawat hai
the bandit is my guide
the judge is my assassin
if i endure, calamity
if i speak out, mutiny
Anonymous
0
0
2
4.8K
ham aah bhi karte hai to
ho jaate hai badnaam
woh qatl bhi karte hai to
charcha nahin hota
even if we sigh a little
we are harshly censured
when he commits murder
there isn't even a murmur
1
0
2
4.7K
achchha ye karam hum pe
tu sayyaad kare hai
par noch ke ab qaid se
aazaad kare hai
strange is this favor
you do to me, my captor
first you tear my wings
and then you set me free
0
0
1
3.3K
zabt karta huun to
ghuThta hai qafas mein mera dam
aah karta huun to
sayyaad khafa hota hai
if i restrain myself and submit
i suffocate in this cage
if i sigh and complain
my captor becomes irate
0
0
5
3.8K
har ek baath ko
chup-chaap kyuun suna jaaye
kabhi to hausla kar ke
nahin kaha jaaye
why agree silently
to everything that is said
we should find the courage
to sometimes say ‘No’
1
0
0
2.9K
ehsaas tujh ko hoga
zindaan ka rafta rafta
tujh par khulegi
teri zanjeer rafta rafta
you will realize the
prison around you, slowly, slowly
the shackles around your feet
will become apparent, slowly, slowly
shackles, chains
feeling, experience
prison, jail
slowly slowly, gradually
become apparent
0
0
1
3.9K
jis khait se dahqaan ko
mayassar naheen rozi
us khait ke har
khosha-e-gandum ko jalado
that field where it is not possible
for the farmer to make a living
burn down every
stalk of wheat of that field
0
0
0
4.2K
zaalim ko jo na roke
woh shaamil hai zulm mein
qaatil ko jo na Toke
woh qaatil ke saath hai
one who doesn't stop a tyrant
is guilty of tyranny also
one who doesn't stop the murderer
is an accomplice in the murder too
0
0
1
2.1K
parda-e-lutf mein
ye zulm-o-sitam kya kahiye
haaye zaalim, tera
andaaz-e-karam kya kahiye
behind the comfort's veil, what to say
of this tyranny and cruelty
oh you tyrant, what to say
of your style of kindness
0
0
0
4.0K
kuchh to tere mausam hi
mujhe raas kam aaye
aur kuchh meri miTTi mein
baghaawat bhi bahut thi
something about your weather
did not suit me well
and in my own soil, perhaps
there was too much rebellion
0
0
1
4.8K
kaam hai mera taghayyur
naam hai mera shabaab
mera naara:
inquilaab-o inquilaab-o inquilaab
change is my mission
youth is my name
my slogan:
revolution, revolution, revolution
0
0
2
3.2K
hum aman chaahte hain
magar zulm ke khilaaf
agar jang laazmi hai
to phir jang hi sahi
we desire peace
but by vanquishing tyranny
if what is needed is a fight
so be it…that fight is right
0
0
0
4.8K
dekh
raftaar-e-inquilab 'firaq'
kitni aahista
aur kitni tez
watch
the pace of revolution, firaq
how deliberate
and, yet, how swift
0
0
0
2.6K
inquilaab aayega raftaar se
mayoos na ho
bahut aahista nahin hai
jo bahut tez nahin
the revolution will come soon
don’t be despondent
it doesn’t come too slowly
not does it come too fast
0
0
2
3.2K
sarfaroshi ki tamanna
ab hamare dil mein hai
dekhna hai zor kitna
baazu-e-qaatil mein hai
the desire to sacrifice
is raging in my heart
we shall see how much power
there is the assassin's arms
0
0
0
2.0K
na gila hai na shikaayat
mujhe bedaad ki hai
hai wahi meri khushi
jo mere sayyaad ki hai
neither complaint nor grievance
i have against the oppression
my happiness is in
what makes my captor happy
0
0
1
3.3K
bahut qareeb hai 'muztar'
woh zindagi ka nizaam
nazar na aayega jab
koi bismil-o-qaatil
it is very near, muztar,
that system and order of life
when you will not see
any murderers or victims
0
0
2
4.2K
nikal laaya hun
ek pinjre se ik parinda
ab us parinday ki dil se
pinjra nikalna hai
i got a bird
out of a cage
now i have to take the cage
out of the bird’s heart
1
0
6
2.3K
sutuun-e-daar pe rakhte chalo
saron ke charaagh
jahaan talak ye sitam ki
siyaah raat chale
keep putting lamps of heads
on the pillars of the gallows
as long as this dark night
of tyranny continues
2
0
0
3.7K
jab zulm-o-sitam ke
koh-e-garan
rooyi ki tarah uD jaayenge
hum dekhenge
when the mighty mountains
of tyranny and oppression
fly away like clumps of cotton
we shall see
0
0
0
4.7K
aurat huun magar
soorat-e-kohsaar khaDi huun
ik sach ke tahaffuz ke liye
sab se laDi huun
i am a woman, but
stand like a mountain range
for the protection of the truth
i have fought with everyone
0
0
0
2.2K
kya karishma hai mere
jazbaa-e-azaadi ka
thi jo deewaar kabhi
ab hai woh dar ki soorat
what a marvel it is
my passion for freedom
what was once a wall
has become the opening of a door
0
0
2
2.6K
423 Shaayars
Urdu Poetry, Simply Told
classic Urdu shers with simple translations, poetic insights, and mini-dictionaries for every poetry lover...
A heartfelt collection of Classic Urdu shers...
Alfaaz Ki Mehfil is a curated space for timeless poetry celebrating words, emotions, and the enduring beauty of expression. From classic Urdu couplets to modern reflections, it brings together generations of poetic voices that speak of love, longing, hope, and the human soul.