9 Urdu ash'ar / shaayari (shers, couplets) containing the word:
1 / 9: yaadon
jaada jaada chhoD jaao
apni yaadon ke nuqoosh
aane vaale kaarwaan ke
raahnuma ban kar chalo
leave the marks of your memories
on every path you tread
walk as a guide
for caravans that follow
0
0
3
41
2 / 9: yaadon
itni saari yaadon ke
hote bhi jab dil mein
viraani hoti hai to
hairaani hoti hai
even with a storm of
memories in the heart
when there is loneliness
i am taken by surprise
0
0
0
2.6K
3 / 9: yaadon
yaadon ki rail aur kahin
ja rahi thi phir
zanjeer kheench kar hi
utarna paDa mujhe
the runaway train of thoughts
is now headed somewhere else
i had to pull the chain
and get off
0
0
0
4.1K
4 / 9: yaadon
mehboob ki yaadon mein
ham raah nihaare baithe hain
ab toh akele hi
mehfil sajaaye baithe hain
with memories of my beloved
i wait, watching the street
all alone,
i wait, with my home decorated
Anonymous
0
0
0
2.7K
5 / 9: yaadon
ujaale apni yaadon ke
hamaare saath rahne do
na jaane kis gali mein
zindagi ki shaam ho jaaye
let our bright memories
continue to stay with us
as who knows where
life’s evening might fall
1
0
1
2.8K
6 / 9: yaadon
khwaabon par ikhtiyaar
na yaadon pe zor hai
kab zindagi guzaari hai
apne hisaab mein
no control over dreams
no power over memories
when has life ever
transpired on my terms
0
0
1
3.2K
7 / 9: yaadon
maazi ke samundar mein aksar
yaadon ke jazeere milte hain
phir aao vaheen langar Daalen
phir aao unhen aabaad karen
in the ocean of the past, often
islands of memories are found
so, come, let’s anchor here
so, come, let’s dwell here
0
0
0
1.8K
8 / 9: yaadon
phenk de
khushk phool yaadon ke
zid na kar
tu bhi bewafa ho ja
throw away
the dry flowers of memories
don’t be stubborn
you be unfaithful too
0
0
0
3.7K
9 / 9: yaadon
dareecha baaz hai yaadon ka
aur main
hawa sunta huun
peDon ki zubaan se
the window of my memories
is wide open
i hear the breeze through
the language of the trees
0
0
0
1.8K
423 Shaayars
Urdu Poetry, Simply Told
classic Urdu shers with simple translations, poetic insights, and mini-dictionaries for every poetry lover...
A heartfelt collection of Classic Urdu shers...
Alfaaz Ki Mehfil is a curated space for timeless poetry celebrating words, emotions, and the enduring beauty of expression. From classic Urdu couplets to modern reflections, it brings together generations of poetic voices that speak of love, longing, hope, and the human soul.