18 Urdu ash'ar / shaayari (shers, couplets) containing the word:
1 / 18: magar
sochta huun magar
keh na paata kuch bhi
dil ki baat labon tak
laana bhi mushkil hai
i think and think
but can't get myself to speak
the heart's matters
lose their their way to the lips
0
0
0
0
2 / 18: magar
tum na maano
magar haqeeqat hai
ishq insaan ki
zaroorat hai
you may not accept it
but it is the truth
love is a necessity
for a human being
0
0
0
18
3 / 18: magar
hum jis pe mar rahe hain
woh hai baat hi kuchh aur
aalam mein tujh se laakh sahi
tu magar kahaan?
the one i die for
is so unique and special
there maybe millions like you
but how can you even compare?
Theme: Love, Passion and Longing (107)
0
0
1
28
4 / 18: magar
na koyi vaada, na koyi yaqeen
na koyi ummeed
magar humein to
tera intezaar karna tha
no promise, no assurance
no hope
yet, i had to
keep waiting for you
0
0
2
85
5 / 18: magar
ye sochna ghalat hai ke
tum par nazar naheen
masroof hum bahut hain
magar bekhabar naheen
it is wrong to assume
i am not paying attention to you
i am quite busy, but yet
i am not unaware
0
0
0
41
6 / 18: magar
chand alfaaz ke moti hain
mere daaman mein
magar teri mohabbat ka
taqaaza kuchh aur
i hold a few pearl-like
words in my lap
but the demands of your love
are something else entirely
0
0
1
90
7 / 18: magar
main tujh se jhuk ke mila huun
magar ye dhyaan rahe
baDa naheen huun magar tujh se
qad mein kam bhi naheen
i bowed when i met you
but do keep this in mind
i am not greater than you
but am not less either
0
0
0
49
8 / 18: magar
bahut haseen sahi
sohbaten gulon ki, magar
woh zindagi hai jo
kaanTon ke darmiyaan guzre
the company of flowers
is indeed beautiful
but that is life which
happens amid thorns
1959: Sahitya Akademi
1
0
2
2.7K
9 / 18: magar
jhuk kar salaam karne mein
kya harj hai magar
sar itna mat jhukaao ki
dastaar gir pade
what harm is there
in bowing respectfully, but
don’t bend so much
that your hat falls off
0
0
1
3.3K
10 / 18: magar
kabhi jo khwaab tha
woh pa liya hai
magar jo kho gayi
woh cheez kya thi
that cherished dream
you have realized
but, what is that
you have lost, along the way?
Theme: Hopes, Aspirations & Dreams (36)
0
0
1
3.2K
11 / 18: magar
kabhi yun tha ki hazaar teer
jigar mein the to dukhi na the
magar ab ye hai kisi maharabaan ke
tapaak ne bhi rula diya
there was a time when even a thousand
arrows in the heart did not cause me grief
but now even the warm handshake
of a friend makes me weep
thousand
sad
yet, but
well-wisher, friend
intense passion
make me cry
Theme: Life, Living & Dying (115)
0
0
3
4.1K
12 / 18: magar
mohabbat rang de jaati hai
jab dil dil se milta hai
magar masla to ye hai
dil baDi mushkil se milta hai
love makes life colorful
when two hearts meet
but what is difficult
is for two hearts to meet
0
0
0
2.6K
13 / 18: magar
main akela hi chala tha
jaanib-e-manzil magar
log saath aate gaye
aur kaarwaan banta gaya
i started alone
towards the destination
people kept joining
a caravan started forming
1
0
2
1.9K
14 / 18: magar
aankh bhar aayi
kisi se jo mulaaqaat hui
khushk mausam tha
magar TuuT ke barsaat hui
eyes welled with the
reunion of the loved one
after a long season of drought
the sky broke to rain down
0
0
2
2.7K
15 / 18: magar
hum aman chaahte hain
magar zulm ke khilaaf
agar jang laazmi hai
to phir jang hi sahi
we desire peace
but by vanquishing tyranny
if what is needed is a fight
so be it…that fight is right
0
0
0
4.8K
16 / 18: magar
dil na-ummeed to nahi
nakaam hi to hai
lambi hai gham ki shaam
magar shaam hi to hai
the heart is not hopeless
just not sorted for now
long is the night of sorrow
yet, it is just a night (that'll pass)
0
0
1
3.6K
17 / 18: magar
hain dalilen tere
khilaaf magar
sochta hun teri
himaayat mein
there are arguments
made against you, but
i think
in your defense
0
0
1
3.6K
18 / 18: magar
ishq ki choT ka kuchh
dil pe asar ho to sahi
dard kam ho ya zyaada ho
magar ho to sahi
let love’s hurt have
some effect on the heart
whether the pain is less or more
let there at least be some
0
0
4
2.8K
423 Shaayars
Urdu Poetry, Simply Told
classic Urdu shers with simple translations, poetic insights, and mini-dictionaries for every poetry lover...
A heartfelt collection of Classic Urdu shers...
Alfaaz Ki Mehfil is a curated space for timeless poetry celebrating words, emotions, and the enduring beauty of expression. From classic Urdu couplets to modern reflections, it brings together generations of poetic voices that speak of love, longing, hope, and the human soul.