97 Urdu ash'ar / shaayari (shers, couplets) on the theme:
khalvat ho aur sharaab ho
maashuuq saamne
zaahid, tujhe kasam hai
jo tu ho to kya kare
in seclusion and
with wine and beloved with you
o holy man, tell me honestly
what would you do?
0
0
1
5
ik main hoon apne dil mein
tujhe dekhta huun roz
ik tu hai muD ke
meri taraf dekhta naheen
i alone see you
in my heart every day
you never once
turn my way
0
0
0
1
bosa-e-khaal-e-lab-e-jaanaan
ki kaifiyat na poochh
nasha-e-mai se zyaada
nasha-e-afyoon hua
ask me not of the ecstasy of
kissing the mole on my beloved's lip
the rapture was greater than wine
it was like the trance of opium
0
0
0
34
qaul aabru ka tha ki
na jaaunga us gali
ho kar ke beqaraar
dekho, aaj phir gaya
i had pledged on my honour
that i would not go to her street
but see, restless again
today i went again
0
0
0
32
jahaan dekho vahaan maujood
mera krishn pyaara hai
usi ka sab hai jalva jo
jahaan mein aashkaaraa hai
in every direction i see
my dear krishna is there
all the splendour revealed
in this world is his alone
world, universe
beloved
all
radiance, luminescence
manifest, revealed
0
0
0
4
tha iraada teri fariyaad karein
haakim se
woh bhi, aye shokh, tera
chaahne waala nikla
i sought to complain
about you to the judge
but alas, o playful one,
he, too, turned out your admirer
0
0
0
15
mil-milaa ke donon ne
dil ko kar diya barbaad
husn ne kiya bekhud
ishq ne kiya aazaad
together, the two of them
ruined my heart
beauty intoxicated me
love set me free
0
0
0
14
phabaa hai rukh pe tere
khushnumaa, sanam lekin
hamesha gul pe ye shabnam
rahe rahe na rahe
your beauty suits your
radiant face, my beloved
yet, the dewdrop on the flower
may not last forever
0
0
0
21
milte hi nazar
dil ko milaayaa naheen jaata
aaghaaz ko
anjaam banaayaa naheen jaata
soon as the eyes meet
the hearts can't unite
beginnings can't be
forced into endings right away
0
0
0
16
waqt hai ab
namaaz-e-maghrib ka
chaand rukh, lab shafaq hai
gesu shaam
it is time for
evening prayers
moon is your face, your lips the twilight blush
your tresses the dusk
0
0
0
43
jalvagar bazm-e-haseenon mein,
hain woh is shaan se
chaand jaise, aye 'qamar',
taaron bhari mehfil mein hain
in the assembly of beautiful ones,
she graces with such presence
like the moon, oh 'qamar',
shines in a star-studded gathering
0
0
1
32
teer-o-talwaar se baDh kar
hai teri tirchhi nigah
saikDon aashiqon ka
khoon kiye baiThi hai
sharper than blade or bow is
that slanted gaze of yours
and there you sit,
having slayed a millions lovers
0
0
0
41
dil mera luuT gaya
woh baDi tauqeer ke saath
jo mujhe jeet na paaya
kabhi shamsheer ke saath
my heart was stolen
by honor and grace
by the one who could
never conquer me with a sword
1
0
0
50
yuun tasavvur men khile gul hain
teri baat ke baad
jaise gulshan mein nikhar jaaye
faza raat ke baad
after you speak
flowers bloom in my imagination
just as the garden brightens
after the night has passed
0
0
0
70
di us ne mujh ko
jurm-e-mohabbat ki woh saza
kuchh bekusur log
saza maangne lage
she gave me such punishment
for the crime of love
that even the faultless have
started seeking the punishment
0
0
1
27
kaun si baat hai
tum mein aisi
itne achchhe
kyun lagte ho
what is it
about you
that makes you
seem so wonderful
0
0
0
18
woh aur vaada wasl ka
qaasid naheen naheen
sach sach bata ye lafz
unhi ki zubaan ke hain
she and the promise of union
o messenger, it is not possible
tell me honestly, if these words
truly flowed from her tongue
0
0
1
100
chand alfaaz ke moti hain
mere daaman mein
magar teri mohabbat ka
taqaaza kuchh aur
i hold a few pearl-like
words in my lap
but the demands of your love
are something else entirely
0
0
1
90
ik raat dil-jalon ko
yeh aish-e-visaal de
phir chaahe aasmaan
jahannam mein Daal de
grant the heart-broken
one night of the joy of union
then cast the skies into hell
if you so wish
0
0
0
77
aankhen khuda ne di hain
to dekhenge husn-e-yaar
kab tak naqaab
rukh se uThaayi na jaayegi
god has given us eyes
to view the beauty of the beloved
how long will the veil
not be lifted from the face
0
0
0
2.1K
main tere husn ka
khalwat mein tamashaayi huun
aaina seekh na jaaye
kaheen hairat meri
i am, in isolation,
a spectator of your beauty
may the mirror not learn
of my awe and wonder
0
0
0
4.0K
kabhi un mad-bhari aankhon se
peeya tha ek jaam
aaj tak hosh naheen,
hosh naheen, hosh naheen
once i drank a cup
from those intoxicating eyes
till now, i am not conscious
not conscious, not conscious
1959: Sahitya Akademi
0
0
1
2.5K
is mausam-e-gul hi se
behke naheen deewaane
saath abr-e-baharaan ke
woh zulf bhi lehraaye
it's not just the season of flowers
that has intoxicated the crazed
along with the spring clouds
her hair fluttered too
0
0
1
4.6K
allah-re chashm-e-yaar ki
mojiz-bayaaniyaan
har ek ko hai gumaan ke
mukhaatab hamin rahe
oh god, the miraculous expression
of the beloved's eyes
each one thinks he is
the only one being addressed
0
0
1
4.0K
dekhe baghair
haal ye hai izteraab ka
kya jaane kya ho
parda jo uThe naqaab ka
even without seeing
if there is such restlessness
not sure what would happen
if the veil were to be lifted
1
0
0
3.7K
ulTi ik haath se
naqaab unki
ek se apne dil ko
thaam liya
with one hand
i lifted her veil
with the other
i held my heart
0
0
0
3.6K
jo dekhte tere
zanjeer-e-zulf ka aalam
asir hone ki
aazaad aarzoo karte
should they see the world of
shackles of your tresses
even free men would
desire to be held hostage
1
0
1
4.3K
donon haathon se
luTTi hai hamein
kitni zaalim hai
teri angDaayi
with both hands
you have robbed me
how cruel it is when
you raise your arms to stretch
1959: Sahitya Akademi
0
0
5
4.6K
roshan jamaal-e-yaar se
hai anjuman tamaam
dahka hua hai aatish-e-gul se
chaman tamaam
the entire gathering was aglow
with the beauty of my beloved
just like the whole garden was ablaze
by the fire of the flower
2014: Commemorative Stamp, India
0
0
0
1.9K
dekha hai kis nigaah se
tu ne sitam-zarif
mahsoos ho raha hai
main gharq-e-sharaab hun
the way you threw your
glance at me, you tyrant
makes me feel like i am
drowning in wine
wine, liquor, drink
sight, vision, glance
oppressor
experience
drowning, sinking
1
0
0
4.5K
ishq ka zauq-e-nazaara
muft mein hai badnaam
husn khud betaab hai
jalwa dikhaane ke liye
love gets a bad rap needlessly
for the pleasure of watching
though beauty herself is impatient
for her splendor to be seen
0
0
1
4.5K
andaaz apna dekhte hain
aaine mein woh
aur ye bhi dekhte hain
koyi dekhta na ho
she looks in the mirror
to check herself out
she also looks to make sure
no one's looking
0
0
0
3.4K
hum ne paala muddaton pahlu mein
hum koyi nahin
tum ne dekha ek nazar se
dil tumhaara ho gaya
though i nurtured for ages
i wasn’t worth much
you gave it just a glance
and it became yours
0
0
0
3.8K
ek haseen aankh
ke ishaare par
qaafile raah
bhool jaate hain
with just a sign from
those pretty eyes
caravans
can lose their way
0
0
1
2.6K
is adaa se
mujhe salaam kiya
ek hi aan mein
ghulaam kiya
with such grace
did she greet me
in a trice
she enslaved me
0
0
0
1.6K
jabeen par saadgi, neechi nigaahen
baat mein narmi
mukhaatab kaun kar sakta hai
tum ko lafz-e-qaatil se
innocence on face, eyes lowered
dulcet softness in voice
how can anyone address you
with the word 'assassin’
2014: Commemorative Stamp, India
1
0
0
4.1K
tu munda bilkul desi hai
main katrina ton sohni ve
main fed up ho gaiyaan mundeya
sun sun ke tere dukhde ve
you’re just a country bumpkin
and i am lovely like katrina
i am fed up, you fellow,
listening to your sob stories
0
0
0
2.0K
hairaan huun is qadar ki
shab-e-wasl bhi mujhe
tu saamne hai
aur tera intezaar hai
i am so surprised to such extent
in this evening of union
that you are in front of me
but i am still waiting for you
1
0
1
3.8K
ho kabhi to
sharaab-e-wasl naseeb
peeye jaoon main
khoon hee kab tak
hope i’ll be fortunate to
enjoy the wine of union
for how long do i
keep drinking blood
0
0
0
3.3K
aap ke paanv ke neeche
dil hai ik
zara aap ko
zahmat hogi
under your feet
there is a heart
if it is not
too inconvenient
0
0
1
2.6K
us lab se mil hi jaayega
bosa kabhi to haan
shauq-e-fuzool-o-
jurat-e-rindaana chaahiye
from those lips, am sure
to get a kiss one day
just needs pointless passion
and careless courage
0
0
0
4.9K
‘asad’ khushi se
mere haath paanv phuul gaye
kaha jo usne
zara mere paanv daab to de
‘asad’, with joy
my limbs were rendered immobile
when she said
please press my feet
0
0
0
3.4K
kal chaudhvin ki raat thi
shab bhar raha charcha tera
kuchh ne kaha ye chaand hai
kuchh ne kaha chehra tera
‘twas full moon last night
with all the talk about you
some said it was the moon
others said it was you
1
0
0
1.8K
paamaal kar ke poochte hain
kis adaa se vo
is dil mein aag thi?
mere talve jhulaas gaye
after trampling me
she asks amusedly
was your heart on fire?
for my soles are seared
0
0
0
4.4K
jo kaha main ne ki
pyaar aata hai mujh ko tum par
hans ke kehne lagaa
aur aap ko aata kya hai
when i mentioned
that i am falling in love with her
she smiled and asked
what else do you know to do
0
0
0
5.0K
mere rashk-e-qamar tu ne pehli nazar
jab nazar se milaayi…maza aa gaya
barq si gir gayi kaam hi kar gayi
aag aisi lagaayi…maza aa gaya
oh my envy-of-the-moon…when our
eyes met the first time…’twas thrilling
lightning came down and did its job
it lit a fire such that…’twas so thrilling
0
0
0
2.7K
kis tawaqqo pe
kisi ko dekhen
koyi tum se bhi
haseen kya hoga
with what hope
can i look at anyone else
who can be
more beautiful than you
0
0
1
2.4K
kya badan hoga ki jis ke
kholte jaame ka band
barg-e-gul ki tarah
har naakhun mo'attar ho gaya
what body it must be
when i untie the drawstrings
like the petals of a flower
my nails smell of perfume too
1
0
2
1.8K
kahin woh aa ke
miTa de na intezaar ka lutf
kahin qubuul na ho jaaye
iltijaa meri
by coming, hope she wouldn’t ruin
my pleasure of waiting
hope she doesn't accept
my pleas for her to come
0
0
2
2.6K
maana ho tum
behad haseen
aise bure
hum bhi naheen
i concede
you are a limitless beauty
i too am not
that bad
1
0
9
3.8K
kaun si baat hai
jo tujh mein nahin
tujh ko dekhe
mere nazar se koyi
what is it
that is lacking in you
someone ought to see
you with my eyes
perspective, sight
0
0
0
2.7K
poocha jo un se
chaand nikalta hai kis tarah
zulfon ko rukh pe Daal ke
jhatka diya ki yuun
when i asked her
from where does the moon rise
she covered her face with curls
and tossed them to say…here
0
0
0
2.2K
iqraar mein kahaan hai
inkaar ki si khoobi
hota hai shauq, ghalib
us ki naheen naheen par
where is the refusal's fun
in ready acceptance
so much charm there is, ghalib,
in her repeated rejections
0
0
1
3.5K
thi wasl mein bhi
fikr-e-judaai tamaam shab
vo aaye to bhi neend
na aayi tamaam shab
even in union
the fear of separation all night
when my beloved comes
sleep escapes me all night
0
0
0
4.2K
tujhe kaun jaanta tha
meri dosti se pahle
tera husn kuchh naheen tha
meri shaayari se pahle
who knew of you
before my friendship
and your beauty was nothing
before my poetry
0
0
1
3.5K
sarak gaya jab uske rukh se
pardaa achaanak
farishte bhi kehne lage
kaash hum insaan hote
when the veil suddenly
slipped off her face
angels said to each other
gosh, wish we were human
Anonymous
0
0
1
3.0K
woh kehti hai hum unke husn ki
jhooti taareef karte hai
aye khuda bas ek din
aaine ko zubaan de de
she accuses me of
falsely praising her beauty
o god, if only you could give
the mirrors a voice for a day
0
0
1
4.5K
aafat to hai vo naaz bhi
andaaz bhi lekin
marta huun main jis par
vo adaa aur hi kuchh hai
catastrophes they sure are
those airs and those manners
that style and grace for which i die
oh, it is something else
0
0
1
2.0K
khoob parda hai ki
chilman se lage baithe hain
saaf chupte bhi nahin
saamne aate bhi nahin
wearing a fine veil
yet behind a lattice screen
she doesn't hide completely
nor does she come in front
0
0
1
3.9K
tumhaara husn araaish
tumhaari saadgi zevar
tumhen koi zaruurat hi nahi
banne sanwarne ki
your beauty is your adornment
your simplicity is your ornament
what need is there
for any other decoration?
1962: Padma Bhushan
0
0
1
4.8K
ek usi ko dekh na paaye
warna, shahr ki sadkon par
achhi achhi poshaaken hain
achhi suurat wale hain
i could not get to see her,
otherwise, the streets of the city
are filled with good-looking women
in beautiful clothes
0
0
0
5.0K
aise hans hans ke
na dekha karo sab ki jaanib
log aise hi adaaon pe
fida hote hain
don’t flash your smiles
at all these men, miss
they fall so easily
for your mannerisms
0
0
0
4.3K
na dunga dil use main
ye hamesha kahta tha
vo aaj le hi gayaa, aur
'zafar' se kuchh na hua
i will not give her my heart,
i kept telling myself
she walked away with it today,
and Zafar was helpless
always
1
0
1
2.3K
donon laazim hai
laa-zawal bhi hain
ek tera husn
ek mera ye ishq
both are essential
and both everlasting
one, your beauty
and this love of mine
Anonymous
necessary
0
0
0
3.1K
khuda bachaye tere
mast mast aankhon se
farishta ho to behak jaaye
aadmi kya hai
god help us with
your intoxicating eyes
those than can get angels drunk
what hope does a man have
0
0
0
4.7K
uske chehre ki chamak
ke saamne saada laga
aasmaan pe chaand pura tha
magar aadha laga
it seemed so plain
against the sparkle on her face
the moon was full in the sky
but it appeared to be half
0
0
2
3.0K
hargiz raha na kafir-o-momin
se usko kaam
dil ne kiya qubuul
jab islam husn kaa
it becomes indifferent to
both the infidel and the pious
when the heart chooses
to accept the religion of beauty
0
0
2
4.6K
woh shab ko behijaab
jo mehfil mein aa gaya
kya noor tha ki
shama ko parvaana kar diya
when that evening she came,
unveiled, to the gathering
oh, what a glow…
that turned the flame into a moth
0
0
1
3.1K
aaina dekh kar
vo ye samjhe
mil gaya
husn-e-bemisaal hamen
looking into the mirror
she said to herself
i have found
an unexampled beauty
0
0
0
1.7K
dekhun to jurm
aur, na dekhun to kufr
ab kya kahun
jamal-e-rukh-e-fitnagar ko mein
it is a crime if i see
lacking in grace if i don’t
what shall i call this
beautiful, mischievous face
0
0
1
4.0K
be-takalluf woh
auron se hai
naaz uThaane ko
hum rah gaye?
she is friendly
with all others
only i am left
to bear her whims and airs?
0
0
1
4.8K
zara ek tabassum ki
takleef karna
ke gulzar mein
phool murjha rahe hai
do take the trouble
to smile once
for the flowers
in the garden are wilting
0
0
1
3.8K
muskuraye baghair bhi
vo hont
nazar aate hain
muskuraye huye
even without a smile
those lips
seem to be smiling
all the while
1
0
0
2.9K
hain jo iraaden bata doon tumko
sharma hi jaaogi tum
dhaDkne jo suna doon tumko
ghabra hi jaaogi tum
if i were to tell you my wishes
you will surely blush
if i were to listen to my heartbeat
you will surely be scared
0
0
0
2.7K
abru ka ishaara kiya
tum ne to hui eid
aye jaan yahi hai
maah-e-shawwal hamara
when you signaled your affection
it has become eid for me
my love, this is
this the holy month for me
0
0
1
4.4K
gul ghunche aftaab
shafaq chaand kahkashaan
aisi koi bhi cheez nahin
jis mein tu na ho
flowers, buds, the sun
the twilight, the moon, the galaxy
is there anything at all
in which you are not there
flower
bud, budding flower
sun
glow, twilight
galaxy
0
0
0
3.4K
teri adaaon ki saadgi mein
kisi ko mehsoos bhi na hoga
abhi qayaamat ka ik karishma
haya ke daaman mein pal rahaa hai
in the simplicity of your manners
no one can even sense
the miracle of an apocalypse being
nurtured in the lap of your modesty
0
0
0
4.0K
faqat nigaah se hota hai
faisla dil ka
na ho nigaah mein shokhi
to dilbari kya hai
just with a glance
does the heart decide
if the glance has no playfulness
where then is the charm
0
0
0
1.6K
jab yaar ne uTha kar
zulfon ke baal baandhe
tab main ne apne dil mein
laakhon khayaal baandhe
when my beloved raised her arms
to gather up her tresses (hair)
i tied up a million desires
in my heart
1
0
1
2.6K
kabhi yuun bhi aa meri aankh mein
ki meri nazar ko khabar na ho
mujhe ek raat nawaaz de
magar is ke baad sahar na ho
sometimes, come to my eyes
without my sight knowing
grant me the favor of one night
that doesn’t have a dawn
2
0
1
2.6K
ye kis zohra-jabeen ki
anjuman mein aamad aamad hai
bichhaaya hai qamar ne
chaandni ka farsh mehfil mein
whose radiant, beautiful face
has arrived in this get-together
the moon has spread a carpet
of moonlight in this gathering
1
0
0
2.5K
nazraana tere husn ko
kya de ki apne paas
le de ke ek dil hai
so TuuTa hua sa hai
what gift to your beauty
can i offer, when all I have
is a heart,
that too somewhat broken
0
0
1
4.2K
bosa-e-rukhsaar par
takraar rahne deejiye
leejiye ya deejiye
inkaar rahne deejiye
please stop arguing
about a kiss on the cheek
either i give or you give
but pray do not refuse
0
0
0
4.8K
bose apne
aariz-e-gulfaam ke
laa mujhe deejiye
aapke kis kaam ke
kisses of your
rose-hued cheeks
give them to me
for what use are they to you?
0
0
0
3.4K
main bhi graduate huun
tum bhi graduate
ilmi mubaahise ho
zara paas aa ke leT
i am a graduate
you are one too
let our intellects debate
come, lie down next to me
0
0
0
3.0K
khwaab-e-shireen mein woh aur
dil mera hai maail-e-shauq
dil dhaDaktaa hai ki
bedaar karuun ya na karuun
she is dreaming sweetly, and
my heart bends towards desire
my heart beats, wondering
whether to wake her up or not
2
0
1
1.9K
mere fusoon ne dikhaai hai
tere rukh ki sahar
mere junoon ne banai hai
tere zulf ki shaam
my enchantment has revealed
the dawn of your face
my madness has created
the dusk of your tresses
1
0
0
4.6K
woh muskura ke koi
baat kar raha tha 'shumar'
aur us ke lafz bhi thay
chaandni mein bikhre hue
he was smiling and
saying something, ‘shumar’
and his words too…
were scattered with moonlight
1
0
3
1.9K
423 Shaayars
Urdu Poetry, Simply Told
classic Urdu shers with simple translations, poetic insights, and mini-dictionaries for every poetry lover...
A heartfelt collection of Classic Urdu shers...
Alfaaz Ki Mehfil is a curated space for timeless poetry celebrating words, emotions, and the enduring beauty of expression. From classic Urdu couplets to modern reflections, it brings together generations of poetic voices that speak of love, longing, hope, and the human soul.