50 Urdu ash'ar / shaayari (shers, couplets) on the theme:
ajeeb bhool-bhulaiyaan hai
shaahraah-e-hayaat
bhaTakne waale
yahaan justuju ki baat na kar
it is a weird maze
this life's highway
oh, the one who is lost
talk not of seeking here
0
0
0
19
bilak raha hai nigaahon mein
hasraton ka hujuum
laTak rahi hain patangen
udaas khambon se
my eyes hold
a throng of longings
kites hang from poles
sad and weary
0
0
0
24
hum badalte hain
rukh hawaaon ka
aaye duniya
hamaare saath chale
we shift the course
and direction of winds
come on, world,
walk with us
0
0
0
13
mat karo shama koon badnaam
jalaati woh naheen
aap sin shauq patangon ko hai
jal jaane ka
don't blame the flame
for it does not burn anyone
the moths themselves
are eager to be consumed
0
0
1
25
muddat ke baad lauT ke
ghar aa gaya to huun
ab sochne laga huun
koyi doosra huun main
after a long time
i have returned home
now i feel like
i am someone else
0
0
0
12
jaada jaada chhoD jaao
apni yaadon ke nuqoosh
aane vaale kaarwaan ke
raahnuma ban kar chalo
leave the marks of your memories
on every path you tread
walk as a guide
for caravans that follow
0
0
3
41
yoon hiraasaan hain
musaafir bastiyon ke darmiyaan
ho gayi ho shaam
jaise jangalon ke darmiyaan
travelers seem so panicked
stuck in between cities
as if darkness has descended
upon dense forests
0
0
0
59
gumshudgi hi asl mein yaaron
raah-numaayi karti hai
raah dikhaane wale pehle
barson raah bhaTakte hain
it is the state of being lost
friends, that guides the way
those who show the path
themselves wandered for years
0
0
0
48
musaafiron se mohabbat ki
baat kar lekin
musaafiron ki mohabbat ka
eitbaar na kar
talk to travelers
about love
but never trust
the love of travelers
0
0
0
16
main aisi raah pe nikla ki
meri khush-bakhti
tamaam umr meri khoj mein
bhaTakti rahi
i set out on such a path
that my good fortune
kept wandering in search
of me...all my life
0
0
0
32
chalne ka hausla naheen
rukna muhaal kar diya
ishq ke is safar ne to
mujh ko niDhaal kar diya
lack the courage to move forward
yet, stopping is now impossible
the journey of love
has left me weary, exhausted
0
0
1
4.2K
izn-e-khiraam lete hue
aasmaan se hum
haT kar chale hain
raahguzar-e-kaarwaan se hum
taking permission to leave
from the heavens above
we parted ways from
the path of the caravan
0
0
0
3.8K
nazar mein duur talak
raahguzar zaroori hai
kisi bhi samt ho
lekin safar zaroori hai
it is important to have a path
that stretches far in sight
no matter which direction
the journey is a must
0
0
0
4.4K
jidhar jaate hain sab
jaana udhar achcha nahin lagta
mujhe paamaal raston
ka safar achcha nahin lagta
where everybody goes
i don’t like going there
on the trodden path
i don’t like to travel
0
0
0
3.2K
saahil pe qaid
laakhon safinon ke vaaste
meri shikasta naav hai
toofan liye hue
the piers on the shore
are for lakhs of boats
but my battered boat
is for the storm ahead
0
0
0
3.8K
safar mein dhoop to hogi
jo chal sako to chalo
tum apne aap ko khud hi
badal sako to chalo
enduring the harsh sun of the journey
those who can keep going, keep going
if along the way, you can figure out
how to reinvent yourself, keep going
1
0
2
4.0K
rahbar raahzan na ban jaaye
kahin is soch mein
chup khada hoon bhool kar
raaste mein manzil ka pata
hope the guide doesn’t
turn a robber
as i stand alone in the path
forgetting my destination
0
0
3
2.0K
apna ghar
aane se pahle
itni galiyan
kyun aati hain
before i reach
my home
why are there
so many lanes and turns
streets
0
0
2
2.9K
talaash-e-talab mein woh lazzat mili hai
dua kar raha hoon ke manzil na aaye
raah-e-aashiqi ka taqaaza yehi hai ke
kashti chale par saahil na aaye
i found so much joy in the seeking of my desire
i am praying the destination never arrives
the demand of the path of love is just this:
boat keeps sailing, but shore is never reached
Anonymous
0
0
0
4.2K
safar hai shart
musaafir nawaaz bahutere
hazaar ha shajr-e-saaya
daar raah mein hain
journey the only condition
generous companions many
thousands of shady trees
line along the path
0
0
0
3.1K
ek pal ke rukne se
duur ho gayee manzil
sirf hum nahin chalte
raaste bhi chalte hain
when we stopped for a moment
the destination receded away
it isn't just us that's moving
the paths are moving too
0
0
0
2.8K
jab se mein chala huun
meri manzil pe nazar hai
aankhon ne meri
meel ka patthar nahi dekha
from the time i started walking
my sights were fixed on the goal
my eyes didn’t notice
the milestones along the way
0
0
0
4.7K
kis ki talaash hai hamen
kis ke asar mein hain
jab se chale hain ghar se
musalsal safar mein hain
what am i in quest of?
under whose influence am i?
since the time i left home
i’ve been continuously traveling
0
0
1
5.0K
Thokar kisi patthar se
agar khai hai main ne
manzil ka nishaan bhi
usi patthar se mila hai
the stone that
tripped me
the pointer to my destination
i got from the same stone
0
0
0
4.5K
raasta hai ki
kaTta jaata hai
faasla hai ki
kam nahin hota
as i keep traveling
on this road
the distance to my destination
doesn’t seem to reduce
1
0
1
4.3K
kisi ko ghar se nikalte hi
mil gayi manzil
koi hamaari tarah
umr bhar safar mein raha
some reach their destination
as they set out of their home
but some like me
keep traveling all their lives
1
0
0
2.4K
dar humko bhi lagta hai
raaste ke sannaate se
lekin ek safar par ai dil
ab jaana to hoga
i too feel frightened
by the lonely quietness of the path
but my heart is set on this journey
i have no choice but to go
0
0
3
2.9K
raah-e-talab mein
kise aarzoo-e-manzil hai
hai shuoor ho to
safar khud safar ka haasil hai
in the path of love and desire
who wishes for the end?
if the path makes sense
journey is journey's reward
1979: Sahitya Akademi Award
0
0
10
4.0K
musaafir hain yaaron
na ghar hai na thikaana
mujhe chalte jaana hai
bas chalte jaana
i am a traveler, my friends
with neither home, nor shelter
i just need to keep walking
keep walking
1
0
0
2.8K
zindagi yun hui
basar tanha
qaafila saath
aur safar tanha
life has transpired
as a lonely vision
moving with the caravan
but traveling alone
0
0
1
4.9K
musaafir hain
musaafir har taraf
magar har shakhs
tanha ja raha hai
travelers all around
travelers everywhere
but each of them
traveling alone
1
0
0
3.9K
main akela hi chala tha
jaanib-e-manzil magar
log saath aate gaye
aur kaarwaan banta gaya
i started alone
towards the destination
people kept joining
a caravan started forming
1
0
2
1.9K
justajoo ho to safar
khatam kahan hota hai
yoon to har mod pe
manzil ka gumaan hota hai
for the seeker
the journey never ends
though at every turn
the delusion of destination
1
0
0
5.0K
kisi manzil mein bhi
haasil na hua dil ko qaraar
zindagi khwahish-e-nakaam
hi karte guzri
with no achievement in life did
my heart capture peace
my life was spent through a
series of unrequited desires
1
0
2
4.9K
hasrat ye us
musaafir-e-bekas ke roye
jo thak ke baith jaata
ho manzil ke saamne
shed tears for the unfulfilled
desires of that helpless traveler
who sits tired by the road
with his destination in sight
0
0
0
2.5K
nigah buland sukhan dilnawaz
jaan pur soz
yahee hai rakht-e-safar
mir-e-karwan ke liye
lofty vision, heart-warming speech
soul on fire
this is all that is needed
from the leader of the caravan
1
0
2
2.1K
manzil milegi
bhaTak kar hi sahi
gumrah to wo hain
jo ghar se nikle hi nahi
we will reach our goal
even if we stray a little
truly lost are the ones who
don't even come out of home
1
0
0
2.0K
mujhe khabar thi mera
intezaar ghar mein raha
ye haadsa tha ki main
umr bhar safar mein raha
i knew that those at home
were waiting for me
the misfortune was that i spent
my whole life out traveling
0
0
0
1.9K
jin hawaaon se
ulajhti rahi saari duniya
un hawaaon ne mera
raasta hamwaar kiya
the winds that
entangled the whole world
the same winds
made my path smooth
1
0
0
1.8K
aye rahbar-e-kaamil chalne
tayyaar to hoon par yaad rahe
us waqt mujhay bhatka dena
jab saamne manzil aa jaaye
oh perfect guide, i am on the
path to the beloved, but please
lead me astray
when the destination is near
0
0
0
4.3K
aye jazba-e-dil gar main chaahoon
har cheez muqaabil aa jaaye
manzil ke liye do gaam chaloon
aur saamne manzil aa jaye
o passion of the heart, if i so desire
all things would appear before me
if i take two steps to my goal
the goal itself comes to meet me
0
0
0
3.0K
chalte rahe to kaun sa
apna kamaal tha
ye woh safar tha jis mein
Thaharna muhaal tha
what great feat was it
that we kept moving?
it was such a journey
where stopping was impossible
0
0
0
2.0K
main kal bhi safar mein tha
aur aaj bhi safar mein huun
kal apno ki talaash mein tha
aaj apni talaash mein huun
i was on a journey yesterday
and still am today
yesterday, in search of my dear ones
today, in search of myself
Anonymous
0
0
0
2.1K
shauq-e-manzil humsafar hai
jazba-e-dil rahbar
mujh pe khud bhi khul naheen paata
kidhar jaata hoon main
passion for destination as companion
emotion of the heart as my guide
even i myself cannot fathom
where i am headed
0
0
1
2.4K
ye kis muhim par chale thay hum
jis mein raaste pur-khatar na aaye
hamein nawaaza na wahshaton ne
hamein junoon ke hunar na aaye
what was this mission i set out on
which had no dangerous paths
i wasn’t blessed with fearlessness
nor did i master the art of passion
1
0
0
2.8K
thi kisi shakhs ki
talaash mujhe
main ne khud ko hi
intekhaab kiya
i was in search
of that someone
finally, i ended up
choosing myself
0
0
1
3.7K
aankhon tak aa saki na kabhi
aansuon ki lahr
ye qaafila bhi
naql-e-makaani mein kho gaya
never could the wave of tears
reach the eyes
this caravan too,
got lost in the migration
0
0
0
3.1K
423 Shaayars
Urdu Poetry, Simply Told
classic Urdu shers with simple translations, poetic insights, and mini-dictionaries for every poetry lover...
A heartfelt collection of Classic Urdu shers...
Alfaaz Ki Mehfil is a curated space for timeless poetry celebrating words, emotions, and the enduring beauty of expression. From classic Urdu couplets to modern reflections, it brings together generations of poetic voices that speak of love, longing, hope, and the human soul.