47 Urdu ash'ar / shaayari (shers, couplets) on the theme:
taareef us khuda ki
jis ne jahaan banaayi
kaisi zameen banaayi
kya aasmaan banaayi
praise be to that god
that made this universe
what a wonderful earth she made
and what a stunning sky
0
0
1
39
basant aayi hai, mauj-e-rang-e-gul hai
josh-e-sahbaa hai
khuda ke fazl se aish-o-tarab ki
ab kami kya hai?
spring is here, tide of colorful blossoms
and wine flowing with zeal
with god's grace, what is left
wanting in the celebration?
0
0
0
14
kis zaalim ne
par peDon ke kaaT diye
aag ugalti dhoop mein
saaya kahin naheen
which cruel one has cut
the wings of the trees
in this spewing, scorching heat
there is no shade anywhere
0
0
3
24
kyun kar na lutf
baada-kashi ka ho aab mein
baarish mein jo huroof hain
woh hain sharaab mein
why shouldn't the pleasure
of wine also exist in water?
the expressive intoxication of rain
is also found in wine
3
0
1
83
in aankhon ne kya kya tamasha
na dekha
haqeeqat mein jo dekhna tha
na dekha
what all fantasies have
these eyes seen
but the reality to be seen in front
that they couldn’t see
0
0
0
1.6K
raat din gardish mein hain
saath aasmaan
ho rahega kuchh na kuchh
ghabrayen kya
day and night the seven skies
keep rotating and revolving
something or else keeps happening
why be so panicked
1
0
0
4.8K
jaise sahraaon mein
haule se chale baad-e-nasim
jaise beemar ko
be-wajh qaraar aa jaaye
like the gentle breeze
flowing through the deserts
like how the sick
unexpectedly get relief
0
0
0
4.6K
duniya jise kahte hain
jaadu ka khilona hai
mil jaaye toh miTTi hain
kho jaaye toh sona hai
that which is called life
is but a bizarre toy
what we get is dirt
what we lose is gold
1
0
0
3.6K
pa ke ik tera tabassum
muskuraayi kayenaat
jhoom uTTha vo bhi
dil jeene jo bezaar tha
just one smile from you…
the whole world rejoiced
those hearts, weary of living,
sprung to life to celebrate
smile
smiled
universe
sway, dance
weary, dejected
0
0
2
3.1K
is seena-e-veeraan mein
khilaaye na kabhi phool
kyon baagh pe itraati rahi
baad-e-saba hai
in this desolate heart
having never bloomed any flowers
why does the fragrant morning breeze
show off in the garden?
0
0
0
1.6K
band ho jaata hai kuuze mein
kabhi dariya bhi
aur kabhi qatra samundar mein
badal jaata hai
even a river can get
trapped and confined in a jar
and, a drop of water can get
transformed when part of an ocean
0
0
0
4.8K
jise ishrat-kada-e-dahr
samajhta tha main
aakhir-e-kaar vo
ek khwaab-e-pareshaan nikla
that which i thought was
the pleasure house of the world
at the end, turned out to be
a troubled dream
0
0
0
1.9K
ghalib chhuTi sharaab
par ab bhi kabhi kabhi
peeta hoon
roz-e-abr-o-shab-e-mahtaab mein
ghalib has given up drinking
but, still, once in a while
i enjoy a drink
on cloudy days and moon-filled nights
0
0
2
2.1K
kuch sitare mere palkon
pe chamakte hain abhi
kuchh sitare mire seene
mein samaye hue hai abhi
some stars are
twinkling in my eyes
some others are
gathered in my heart
0
0
0
3.7K
bahaaron ki nazar mein
phool aur kaante barabar
mohabbat kya karenge
dost dushman dekhne waale
in the eyes of nature
flowers and thorns are the same
how can one ever love, thinking
in terms of friends and foes
1
0
0
4.3K
itni shiddat se maine tumhe
paane ki koshish ki hai
ki har zarre ne mujhe tumse
milaane ki saazish ki hai
with so much dedication
did i strive and struggle to win you
that every atom of the universe
conspired to help me achieve it
0
0
1
2.5K
aane waale sadiyan
tumko yaad karenge, humasron
jab unko ye pata chalega
tum federer ko dekha tha
generations to come will
remember you, my contemporaries
when they come to know
that you have seen federer
0
0
0
4.5K
yahaan har shakhs har pal
hadsa hone se darta hai
khilona hai jo miTTi ka
fana hone se darta hai
everyone here is always
fearful of a calamity happenin
all of them toys...always
fearful of becoming dirt
0
0
1
3.5K
suni hikaayat-e-hasti
to darmiyaan se suni
na ibtida ki khabar hai
na inteha maaloom
heard the story of life
but from the middle
don’t know how it started
nor know where it will end
0
0
0
2.0K
fareb-e-nazar hai
sukoon-o-sabaat
taDapta hai
har zarra-e-kayenaat
this peace and permanence
are but a deception and illusion
every atom of the universe
is endlessly pulsating (for change)
0
0
1
2.2K
zaroor teri gali se
guzar hua hoga
ki aaj baad-e-saba
beqaraar aayi hai
surely, it must have
passed through your street
for today, the morning zephyr
arrived here a bit restless
0
0
0
3.8K
jin aankhon se
mujhe tum dekhte ho
mein un aankhon se
duniya dekhta hoon
those eyes through
which you see me
through those eyes
i see the world
0
0
0
3.5K
chaand bhi hairaan
dariya bhi pareshaani mein hai
aks kis ka hai ki
itni raushni paani mein hai
the moon is agitated
the river is troubled too
whose reflection is this
that the waters are filled with light
0
0
0
3.8K
jabr-e-maahaul ki zulmat
mein bhi ehsaas mera
noor afshaan hai
jamaal-e-rukh-e-farda ki tarah
even in today’s
oppressive darkness, i feel
the light is spreading
like the beautiful face of the future
1
0
0
2.9K
bazeecha-e-atfal hai
duniya mere aage
hota hai shab-o-roz
tamaasha mere aage
a play of children
this world before me
a spectacle unfolds
every day and night before me
1
0
1
4.3K
haasil-e-kun hai
yeh jahaan-e-kharaab
yeh hi mumkin tha
itni ujlat me
the result of creation
is this ruined world
this was all that was possible
in such haste
0
0
1
5.0K
bahut dinon se koi
hadsa nahi guzra
kahin zamaane ko
ham yaad phir na aa jaayen
it has been many days
since a mishap has occurred
hope life does not
not think of me anytime soon
0
0
0
3.1K
nazaakat us gul-e-raa’naa ki
dekhiyo insha
naseem-e-subh jo chhu jaaye
rang ho maila
you should see, insha,
the lovely flower's daintiness
her complexion gets tarnished
by the whiff of the morning breeze
0
0
0
1.8K
jab ghunche ko washud hui
tahreek saba se
bulbul se ajab kya
jo kare naghma-sarai
when the morning breeze inspires
the bud to bloom
what wonder is it that the
nightingale begins to sing
0
0
0
4.8K
kinaare hi se toofan ka
tamaasha dekhne wale
kinaare se kabhi
andaaza-e-toofan nahin hota
those who watch the spectacle
of the storm from the shore
from the shore, will never
understand the storm’s fury
0
0
0
2.8K
lutf-e-shab-e-mah, ai dil
us dam mujhe haasil ho
ek chaand baghal mein ho
ek chaand muqaabil ho
o heart, may i capture and relish
that moon-filled night for a moment
a moon with me
and another in front
0
0
0
4.0K
sooraj hun zindagi ki
ramaq chhoD jaaunga
main Doob bhi gaya to
shafaq chhoD jaaunga
i am the sun of life,
will leave warmth behind
even if i sink
i will leave a glow behind
0
0
0
3.2K
kaun Doobega
kise paar utarna hai, 'zafar'
faisla waqt ke dariya mein
utar kar hoga
who will drown, zafar, and
who will cross to the other side
that will be decided only
after diving into the river of time
0
0
0
1.8K
bacha liya mujhe
toofan ki mauj ne warna
kinaare waale
safina mera Dubo dete
the waves of the storm
saved me, else
those on the shore
would have sunk my boat
0
0
0
2.5K
jab main chalun to
saaya bhi apna na saath de
jab tum chalo
zameen chale aasmaan chale
when i go, not even my shadow
keeps me company
when you go
the earth follows, the sky follows
0
0
1
2.5K
woh chaand keh ke gaya tha
ki aaj niklegaa
to intezaar mein baiTha
huaa huun shaam se main
that moon told me this and left
that she will come out today
i am here all evening
waiting in anticipation
0
0
0
1.6K
azal se qaaem hain
donon apni zidon pe 'mohsin'
chalegaa paani magar
kinaara naheen chalegaa
since eternity, both have
remained firm in their stances
the water keeps moving, but
the shore stays where it is
1
0
1
2.5K
nikhat wahi suroor wahi
dil-kashi wahi
aamad ye aap ki hai
ke jhonka bahaar ka
the same fragrance, same delight
the same charm and allure
was it your arrival or that of
the gentle breeze of spring
0
0
0
4.1K
ham ne to dareechon pe
saja rakkhe hain parde
baahar hai qayaamat ka
jo manzar to hamen kya
i have decorated my windows
with curtains
the sights of apocalypse outside
how do they matter to me?
0
0
0
2.7K
daaem aabaad
rahegi duniya
hum na honge
koyi hum sa hoga
the world will
continue to flourish forever
even if i am not there
someone like me will
0
0
0
4.0K
shadeed dhoop mein
saare darakht sookh gaye
bas ek dua ka shajar tha
jo besamar na hua
in the intense heat
all the trees dried up
only the tree of prayer remained
never failing to bear fruit
0
0
1
2.8K
muddaton mein aaj
dil ne faisla aakhir diya
khoobsoorat hi sahi
lekin ye duniya jhooT hai
after ages, my heart, finally,
has given out this judgment
it is a beautiful world, no doubt,
but, it is a lie
1
0
2
3.1K
423 Shaayars
Urdu Poetry, Simply Told
classic Urdu shers with simple translations, poetic insights, and mini-dictionaries for every poetry lover...
A heartfelt collection of Classic Urdu shers...
Alfaaz Ki Mehfil is a curated space for timeless poetry celebrating words, emotions, and the enduring beauty of expression. From classic Urdu couplets to modern reflections, it brings together generations of poetic voices that speak of love, longing, hope, and the human soul.