36 Urdu ash'ar / shaayari (shers, couplets) on the theme:
bas ek jast men
aflaak se nikal jaaun
phalaang jaaun zameen ko
main chaar qadmon se
yes, with one leap
i wish to flee the skies
and, in just four steps
stride across the earth
0
0
1
5
darwaaza go khula hai
ijaabat ka, par 'hasan'
ham kis kis aarzoo ko
khuda se talab karein
the door to divine approval
maybe open, 'hasan'
bu which of my countless wishes
should i ask be granted?
0
0
1
16
gul ke hone ki tawaqqo pe
jiye baiThi hai
har kali jaan ko
muTThi mein liye baiThi hai
with the fervent hope
of turning into a flower
the bud waits, holding her life
in the palm of her hands
1
0
3
40
dukh yeh naheen ke
andheron se sulh ki hum ne
malaal yeh hai ke
ab subh ki talab bhi naheen
it is not coming to terms
with the night that is distressing
but the anguish of no longer
wishing for a new dawn
0
0
3
32
bewafa hi sahi
zamaane mein
ham kisi fan ki
intihaa to hue
though unfaithful
in this world
at least, we mastered
an art to its pinnacle
0
0
0
22
vaaye khush-fahmi ki
parvaaz-e-yaqeen se bhi gaye
aasmaan chuune ki khwaahish mein
zameen se bhi gaye
alas, our delusion soared
beyond the flight of reality
in the desire to kiss the sky
we lost touch with the ground
0
0
0
43
bhari duniya mein
ji nahin lagta
jaane kis cheez ki
kami hai abhi
i don't feel engaged
in this crowded world
not sure what
i am missing now
0
0
0
19
yahaan kisi ko bhi kuchh
hasb-e-aarzoo na mila
kisi ko hum na mile
aur hum ko tu na mila
here, no one got
as per their desires
someone didn't get me
and, i didn't get you
1
0
2
133
ab dil ki tamanna hai to
aye kaash yahi ho
aansu ki jagah
aankh se hasrat nikal aaye
if there is just one desire of the heart
maybe...it's just this
instead of tears
dreams flow from my eyes
0
0
0
4.7K
uD jaaunga bahaar mein
maanind-e-bu-e-gul
zanjeer mere paa-e-junoon mein
hazaar Daal
i will fly away in spring
like the fragrance of flowers
even if you shackle my feet of passion
with a thousand chains
1
0
1
2.0K
bas ki hun 'ghalib'
asiri mein bhi aatish zer-e-pa
mu-e-aatish deeda hai
halqa meri zanjeer ka
in captivity too, i am still ‘ghalib’,
with fire under my feet
i can still see the ring of passion
around my shackles
0
0
1
4.6K
le de ke apne paas
faqat ek nazar toh hai
kyun dekhen zindagi ko
kisi ki nazar se hum
all we have
is a viewpoint
why should we see life
from anyone else’s perspective
1
0
2
4.9K
hazaar barq gire
laakh aandhiyaan uTThen
vo phool khil ke rahenge
jo khilne waale hain
let a thousand lightnings struck
let many storms rise...
those flowers will keep blooming
that are given to blooming
thousand
lightning
hundred thousand
storms
flowers, flower
0
0
3
4.5K
har ik shikast-e-tamanna pe
muskuraate hain
woh kya karen jo
musalsal fareb khaate hain
at every broken dream
they smile
what can they do who
always suffer deceit
broken, defeated
wish, desire
smile
continuous, always, constant
trick, deceit
0
0
0
3.3K
sau sau ummeeden bandhti hai
ek ek nigaah par mujh ko
na aise pyaar se
dekha kare koyi
with every glance
hundreds of hopes arise
wish not anyone look
at me with loving eyes
0
0
1
4.1K
aata hai daag-e-hasrat-e-dil
ka shumaar yaad
mujh se mere gunah ka hisaab
aye khuda, na maang
the painful scars of unmet desires
keep coming to my mind
don't from me also ask, oh god,
an account of my sins
1
0
5
4.4K
tum samandar ki rifaaqat pe
bharosa na karo
tishnagi lab pe sajaaye hue
mar jaaoge
don’t place your faith and rely
rely on the kindness of the ocean
you will die with your lips
decorated by thirst
1
0
1
2.7K
khwaab hi khwaab
kab talak dekhun
kaash tujh ko bhi
ek jhalak dekhun
for how long will i see you
in dreams and dreams alone
if only i could see you
for real even if for a moment
0
0
0
3.2K
itna bhi na-ummeed
dil-e-kam-nazar na ho
mumkin naheen ki
shaam-e-alam ki sahar na ho
may this heart of little vision
not remain without hope
it is not possible for this night
to not have a dawn tomorrow
0
0
0
2.4K
'jaun' duniya ki
chaakari kar ke
tu ne dil ki
woh naukri kya ki
‘jaun’ having slaved
for the work of the world
what have you done for
what is dear to your heart
0
0
1
3.1K
puraane saal ki ThiThuri hui
parchhaiyan simTin
naye din ka naya suraj
ufuuq par uTha aata hai
the shivering shadows of
the old year are fading away
the new sun of the new day
is rising over the horizon
1
0
1
2.8K
dil ko main muntazir-e-abr-
e-karam kyun rakhun
phool hai qatra-e-shabnam se
bahal jayega
why should i keep my heart
waiting for the clouds of mercy
the flower is satisfied
with a drop of morning dew
0
0
1
3.3K
aankhon mein na zulfon mein
na rukhsar mein dekhen
mujh ko meri daanish
mere afkaar mein dekhen
see me not in my eyes
my hair, my face
see me in my knowledge,
my thoughts, my concerns
0
0
2
2.9K
kabhi jo khwaab tha
woh pa liya hai
magar jo kho gayi
woh cheez kya thi
that cherished dream
you have realized
but, what is that
you have lost, along the way?
0
0
1
3.2K
insaan ki khwahishon ki
koi inteha nahi
do gaz zameen bhi chahiye
do gaj kafan ke baad
there is no limit
to the human need
after two yards of shroud
needs two yards of land
0
0
0
4.0K
hazaaron khwaahishen aisi ki
har khwaahish pe dum nikle
bahut nikle mere armaan
lekin phir bhi kam nikle
thousands of aspirations
each would consume a life
many desires came true
but still just not enough
0
0
0
3.3K
nahi nigah mein manzil
to justaju hi sahi
nahi visaal mayassar
to aarzoo hi sahi
if the destination is not in sight
the quest is the way
if union with the beloved is not possible
just the desire is the way
0
0
0
2.5K
kis se shikwa karen
veeraane-e-hasti ka, 'hayat'
ham ne khud apni
tamannaaon ko jeene na diya
to whom will i complain, hayat,
about this life of desolation
i myself did not let my
aspirations live and thrive
1
0
1
4.7K
nahin tera nasheman
qasr-e-sultani ke gumbad par
tu shaheen hai basera kar
pahaaDon ki chattanon mein
your place is not on
the dome of the royal palace
you are an eagle, find your
place on the rocks of the mountain
0
0
0
3.5K
kis kis tarah ki dil mein
guzarti hai hasratein
hai wasl se zyaada
mazaa intezaar ka
so many kinds of unmet desires
keep coursing through the heart
but there is more fun in the waiting
than there is in the getting
1
0
1
1.8K
awaaz de ke dekh lo
shaayad woh mil hi jaye
varna ye umr bhar ka safar
raaigaan to hai
call and reach out…maybe
you will get to meet her
else, the life’s journey
would be in vain
0
0
0
2.5K
uqaabi ruuh jab bedaar hoti hai
jawaanon mein
nazar aati hai unko
apni manzil aasmaanon mein
when the soaring hearts
of the youth awaken
then they see their goals
in the skies above
0
0
0
4.2K
samajhta hai tu
raaz hai zindagi
faqat zauq-e-parwaaz
hai zindagi
you think
life is a mystery
life is just
a desire to fly
0
0
8
4.1K
ya rab, teri rehmat se
mayoos nahi 'fani'
lekin teri rehmat ki
takheer ko kya kahiye
o god, ‘fani’ is not disappointed
by your show of mercy
but, what to say about
the delay in show of mercy
0
0
0
2.8K
peeta hun woh mai
nasha utarta naheen jis ka
khaali naheen hota hai
woh paimaana hai mera
i drink that spirit
whose high never wears off
it never empties
that cup of mine
1
0
1
4.1K
423 Shaayars
Urdu Poetry, Simply Told
classic Urdu shers with simple translations, poetic insights, and mini-dictionaries for every poetry lover...
A heartfelt collection of Classic Urdu shers...
Alfaaz Ki Mehfil is a curated space for timeless poetry celebrating words, emotions, and the enduring beauty of expression. From classic Urdu couplets to modern reflections, it brings together generations of poetic voices that speak of love, longing, hope, and the human soul.