6 Urdu ash'ar / shaayari (shers, couplets) containing the word:
1 / 6: izteraab
ai dil kise naseeb
ye taufeeq-e-izteraab
milti hai zindagi mein
ye raahat kabhi kabhi
oh heart, who is ever granted
this grace of restlessness?
life bestows such ease
only now and then
0
0
1
35
2 / 6: izteraab
dekhe baghair
haal ye hai izteraab ka
kya jaane kya ho
parda jo uThe naqaab ka
even without seeing
if there is such restlessness
not sure what would happen
if the veil were to be lifted
1
0
0
3.7K
3 / 6: izteraab
yan lab pe lakh lakh
sukhan iztiraab mein
wan ek khaamoshi teri
sab ke jawaab mein
millions of words
in turmoil on my lip
and your reply for them all
is just silence
Theme: Voice, Expression & Language (69)
0
0
0
2.7K
4 / 6: izteraab
kya kya fareb dil ko
diye izteraab mein
un ki taraf se aap likhe
khat javaab mein
so restless, in what all ways
have you deceived yourself
on her behalf you wrote
replies to yourself
Anonymous
0
0
0
1.6K
5 / 6: izteraab
khuda tujhe kisi
toofan se aashna kar de
ki tere bahr ki maujon
mein izteraab naheen
may god familiarize
you with some storms
the waves of your sea
seem a little too calm
0
0
0
2.9K
6 / 6: izteraab
kya jaane kya likhaa tha
use izteraab mein
qaasid ki laash aayi
khat ke jawaab mein
in my restlessness
i don’t know what i wrote to her
in reply came
the corpse of the messenger
0
0
2
3.7K
423 Shaayars
Urdu Poetry, Simply Told
classic Urdu shers with simple translations, poetic insights, and mini-dictionaries for every poetry lover...
A heartfelt collection of Classic Urdu shers...
Alfaaz Ki Mehfil is a curated space for timeless poetry celebrating words, emotions, and the enduring beauty of expression. From classic Urdu couplets to modern reflections, it brings together generations of poetic voices that speak of love, longing, hope, and the human soul.