5 Urdu ash'ar / shayari (shers, couplets) by
1920-1958,
Agra (Uttar Pradesh)
1 / 5: Akhtar Ansari Akbarabadi
yahi hain yaadgaar-e-ghuncha-o-gul
is zamaane mein
inhiin sookhe hue kaanton se
zikr-e-gulistaan likhiye
these are the only relics
of buds and blooms in our times
with these dried thorns
write the story of the rose garden
0
0
0
27
2 / 5: Akhtar Ansari Akbarabadi
gulon kaa zikr
bahaaron mein kar chuke, 'akhtar'
ab aao hosh mein
barq-o-sharar ki baat karo
we have spoken enough of
blossoms in spring, 'aktar'
now, let us turn our clear minds
to lighting and fire
0
0
0
11
3 / 5: Akhtar Ansari Akbarabadi
ajeeb bhool-bhulaiyaan hai
shaahraah-e-hayaat
bhaTakne waale
yahaan justuju ki baat na kar
it is a weird maze
this life's highway
oh, the one who is lost
talk not of seeking here
0
0
0
19
4 / 5: Akhtar Ansari Akbarabadi
zulm sahte rahe shukr karte rahe
aaye lab tak na ye dastaan aaj tak
mujh ko hairat rahi anjuman mein tere
kyun hain khaamosh ahl-e-zabaan aaj tak
enduring oppression, offering thanks
till now, the tale has not been told
i wonder why, in your assembly
the eloquent ones remain mute
0
0
0
15
5 / 5: Akhtar Ansari Akbarabadi
kya karishma hai mere
jazbaa-e-azaadi ka
thi jo deewaar kabhi
ab hai woh dar ki soorat
what a marvel it is
my passion for freedom
what was once a wall
has become the opening of a door
0
0
2
2.6K
423 Shaayars
Urdu Poetry, Simply Told
classic Urdu shers with simple translations, poetic insights, and mini-dictionaries for every poetry lover...
A heartfelt collection of Classic Urdu shers...
Alfaaz Ki Mehfil is a curated space for timeless poetry celebrating words, emotions, and the enduring beauty of expression. From classic Urdu couplets to modern reflections, it brings together generations of poetic voices that speak of love, longing, hope, and the human soul.