8 Urdu ash'ar / shaayari (shers, couplets) containing the word:
1 / 8: zabaan
zulm sahte rahe shukr karte rahe
aaye lab tak na ye dastaan aaj tak
mujh ko hairat rahi anjuman mein tere
kyun hain khaamosh ahl-e-zabaan aaj tak
enduring oppression, offering thanks
till now, the tale has not been told
i wonder why, in your assembly
the eloquent ones remain mute
0
0
0
15
2 / 8: zabaan
rahee nagufta mere dil mein
dastaan mere
na us dayaar mein samjha koyi
zabaan mere
my heart held
my untold tale
and, no one in that realm
understood my language
0
0
1
39
3 / 8: zabaan
kaun kahta hai
mohabbat ki zabaan hoti hai
ye haqeeqat to
nigaahon se bayaan hoti hai
who says that love
is expressed through words
the truth is it is
signaled through the eyes
0
0
0
116
4 / 8: zabaan
zabaan hamaari na samjha
yahaan koi 'majrooh'
hum ajnabi ki tarah
apne hi watan mein rahe
no one here, ‘majrooh’,
understands what i say
i remain a stranger
in my own land
0
0
2
3.2K
5 / 8: zabaan
jaadu hai ya tilism
tumhari zabaan mein
tum jhuuT kah rahe the
mujhe eitbaar tha
is it magic or spell
that's in what you say
you kept telling lies
and i kept believing
0
0
0
1.9K
6 / 8: zabaan
apni zabaan se kuchh na kahenge
chup hi rahenge aashiq log
tum se to itna ho sakta hai
poochho haal bechaaron ka
they won’t open their mouths
those who love you will say nothing
if it is possible for you, at least
ask the condition of the poor souls
0
0
1
4.2K
7 / 8: zabaan
yaa-rab, woh na samjhe hai
na samjhenge meri baat
de aur dil un ko
jo na de mujh ko zabaan aur
oh god, she doesn’t understand me
nor will she ever
either give her another heart
or give me more eloquence
Theme: Voice, Expression & Language (69)
0
0
3
2.4K
8 / 8: zabaan
avval to thoDi thoDi
chaahat thi darmiyaan mein
phir baat kehte
luknat aane lagi zabaan mein
at first, there was a
a little fondness between us
and then, i started to stutter
when i spoke to her
0
0
1
2.8K
423 Shaayars
Urdu Poetry, Simply Told
classic Urdu shers with simple translations, poetic insights, and mini-dictionaries for every poetry lover...
A heartfelt collection of Classic Urdu shers...
Alfaaz Ki Mehfil is a curated space for timeless poetry celebrating words, emotions, and the enduring beauty of expression. From classic Urdu couplets to modern reflections, it brings together generations of poetic voices that speak of love, longing, hope, and the human soul.