16 Urdu ash'ar / shaayari (shers, couplets) containing the word:
1 / 16: shaam
koi ye shaikh se poochhe
ki band kar aankhen
muraaqabe mein
bata subh-o-shaam kya dekha
someone ask the holy man
as to what he saw
when he closed his eyes
in meditation from dawn to dusk
0
0
1
21
2 / 16: shaam
waqt hai ab
namaaz-e-maghrib ka
chaand rukh, lab shafaq hai
gesu shaam
it is time for
evening prayers
moon is your face, your lips the twilight blush
your tresses the dusk
0
0
0
43
3 / 16: shaam
shaam hote hi
tere hijr ka dukh
dil mein qhema
laga ke baiTh gaya
the moment dusk set in
the pain of your separation
pitched its tent in my heart
and settled in for the night
0
0
1
30
4 / 16: shaam
yoon hiraasaan hain
musaafir bastiyon ke darmiyaan
ho gayi ho shaam
jaise jangalon ke darmiyaan
travelers seem so panicked
stuck in between cities
as if darkness has descended
upon dense forests
0
0
0
59
5 / 16: shaam
tum jo aaye ho to
shakl-e-dar-o-deewaar hai aur
kitni rangeen
meri shaam hui jaati hai
when you arrive, the very appearance
of the walls and doors changes
how colorful
my evening becomes
0
0
0
110
6 / 16: shaam
ujaale apni yaadon ke
hamaare saath rahne do
na jaane kis gali mein
zindagi ki shaam ho jaaye
let our bright memories
continue to stay with us
as who knows where
life’s evening might fall
1
0
1
2.8K
7 / 16: shaam
itna bhi na-ummeed
dil-e-kam-nazar na ho
mumkin naheen ki
shaam-e-alam ki sahar na ho
may this heart of little vision
not remain without hope
it is not possible for this night
to not have a dawn tomorrow
0
0
0
2.4K
8 / 16: shaam
kal thake-haare parindon ne
naseehat ki mujhe
shaam Dhal jaaye to 'mohsin'
tum bhi ghar jaaya karo
the weary and exhausted birds
offered me this advice yesterday
when dusk falls, ‘mohsin’,
you should go home too
Theme: Home, Country & Belonging (25)
0
0
0
4.9K
9 / 16: shaam
dil na-ummeed to nahi
nakaam hi to hai
lambi hai gham ki shaam
magar shaam hi to hai
the heart is not hopeless
just not sorted for now
long is the night of sorrow
yet, it is just a night (that'll pass)
0
0
1
3.6K
10 / 16: shaam
yahi milne ka samay bhi hai
bichhadne ka bhi
mujhe lagta hai bahut
apne se dar shaam ke baad
this is the time to meet
the time for separation too
i feel quite afraid of myself
as the dusk falls
Theme: Loneliness, Solitude & Grief (104)
0
0
0
2.3K
11 / 16: shaam
tumhaare shahr ka mausam
baDa suhaana lage
main ek shaam chura luun
agar bura na lage
the weather of your city
is so pleasant
may i steal an evening
if you don’t mind
0
0
0
2.9K
12 / 16: shaam
shaam se aankh mein
nami si hai
aaj phir aap ki
kami si hai
this evening,
my eyes are moist
today, once again,
i feel your absence
Theme: Loneliness, Solitude & Grief (104)
1
0
0
3.7K
13 / 16: shaam
woh chaand keh ke gaya tha
ki aaj niklegaa
to intezaar mein baiTha
huaa huun shaam se main
that moon told me this and left
that she will come out today
i am here all evening
waiting in anticipation
0
0
0
1.6K
14 / 16: shaam
bas ek shaam ka
har shaam intezaar raha
magar woh shaam
kisi shaam bhi naheen aayi
every evening i waited
for that one evening
but that one evening
did not come on any evening
Theme: Loneliness, Solitude & Grief (104)
0
0
0
3.6K
15 / 16: shaam
shaam ko jis waqt khaali haath
ghar jaata huun main
muskuraa dete hain bachche
aur mar jaata huun main
at the end of the day
when i return home, empty-handed
my kids make me smile
and i die a little inside
0
0
0
3.7K
16 / 16: shaam
subh le jaate hain hum
apna janaaza ghar se
shaam ko phir
use kaandhon pe uTha laate hain
in the morning, i take my
funeral procession out from my home
only to bring it back
on my shoulders each evening
Theme: Grit, Resilience & Courage (45)
1
0
3
4.2K
423 Shaayars
Urdu Poetry, Simply Told
classic Urdu shers with simple translations, poetic insights, and mini-dictionaries for every poetry lover...
A heartfelt collection of Classic Urdu shers...
Alfaaz Ki Mehfil is a curated space for timeless poetry celebrating words, emotions, and the enduring beauty of expression. From classic Urdu couplets to modern reflections, it brings together generations of poetic voices that speak of love, longing, hope, and the human soul.