34 Urdu ash'ar / shaayari (shers, couplets) containing the word:
1 / 34: mohabbat
jaan se apni guzar jaao
mohabbat mein, 'faheem'
naam agar chahte ho
himmat-e-mardaana karo
lay down your life, 'faheem'
in the spirit of love
if you desire fame
act with fearless courage
0
0
1
27
2 / 34: mohabbat
ho ruuh ke taain
jism se kis tarah mohabbat?
taair ko qafas se bhi
kahin ho hai mohabbat?
can the spirit truly
fall in love with the body?
can a bird ever feel
love for its own prison?
0
0
0
30
3 / 34: mohabbat
kaun kahta hai
mohabbat ki zabaan hoti hai
ye haqeeqat to
nigaahon se bayaan hoti hai
who says that love
is expressed through words
the truth is it is
signaled through the eyes
0
0
0
116
4 / 34: mohabbat
di us ne mujh ko
jurm-e-mohabbat ki woh saza
kuchh bekusur log
saza maangne lage
she gave me such punishment
for the crime of love
that even the faultless have
started seeking the punishment
Theme: Beauty, Charm & Union (97)
0
0
1
27
5 / 34: mohabbat
musaafiron se mohabbat ki
baat kar lekin
musaafiron ki mohabbat ka
eitbaar na kar
talk to travelers
about love
but never trust
the love of travelers
Theme: Quest, Journey & Destination (50)
0
0
0
16
6 / 34: mohabbat
chand alfaaz ke moti hain
mere daaman mein
magar teri mohabbat ka
taqaaza kuchh aur
i hold a few pearl-like
words in my lap
but the demands of your love
are something else entirely
0
0
1
90
7 / 34: mohabbat
ek mohabbat
kaafi hai
baaqi umr
izaafi hai
one love
is enough
the rest of life
is just surplus
Theme: Life, Living & Dying (115)
3
0
1
111
8 / 34: mohabbat
ye bhi ik rang hai
shaayad meri mehroomi ka
koyi hans de to
mohabbat ka gumaan hota hai
maybe this too is
a shade of my deprivation
that if anyone smiles
it seems to me like love
0
0
0
3.8K
9 / 34: mohabbat
dil mein jo mohabbat ki
raushni nahin hoti
itni khoobsurat
ye zindagi nahin hoti
if there is no
light of love in the heart
life does not turn out
to be so beautiful
Theme: Life, Living & Dying (115)
1
0
0
4.8K
10 / 34: mohabbat
mohabbat, adaawat
wafa, be-rukhee
kiraae ke ghar the
badalte rahe
love, hatred
faithfulness, indifference
it was a rented house
kept changing
love
hatred
indifference
rented house
faithfulness
Theme: Heart, Mind & Memory (62)
0
0
0
3.6K
11 / 34: mohabbat
na poocho
husn ki tareef hum se
mohabbat jis se ho
bas wo haseen hai
don’t look to me
for praise of beauty
whoever i am in love with
my beloved is beautiful
0
0
2
1.9K
12 / 34: mohabbat
duniya ke sitam yaad
na apni hi wafa yaad
ab mujh ko nahin kuchh bhi
mohabbat ke siwa yaad
i remember neither the world’s cruelty
nor my own faithful toiling
i don’t now remember anything
but my love
1959: Sahitya Akademi
0
0
0
3.5K
13 / 34: mohabbat
allah agar taufeeq na de
insaan ke bas ka kaam nahin
faizaan-e-mohabbat aam sahi
irfaan-e-mohabbat aam nahin
if god doesn’t give guidance
man is not competent
grace of love is common
but not love’s enlightenment
1959: Sahitya Akademi
0
0
0
4.0K
14 / 34: mohabbat
mohabbat ne zulmat se
kaadhaa hai noor
na hoti mohabbat
na hota zuhoor
from the depths of darkness
love has brought out light
without love
there is no sight
0
0
1
3.9K
15 / 34: mohabbat
main kya kahun
kahan hai mohabbat kahan nahin
raag raag mein daudthi phirthi hai
nashtar liye hue
what can i say about
where love is and where it isn’t
it courses through every vein,
daggers drawn
1959: Sahitya Akademi
Theme: Love, Passion and Longing (107)
0
0
1
4.4K
16 / 34: mohabbat
maloom jo hota hame
anjaam-e-mohabbat
lete na kabhi bhool ke ham
naam-e-mohabbat
had i known the
consequences of love
even by mistake, i wouldn’t have
uttered the name of love
1
0
2
3.6K
17 / 34: mohabbat
ab urdu kya hai
ek kothey ki tawaif
mazaa har ek leta hai
mohabbat karta hai kaun
what is urdu
but a courtesan in a brothel
everyone has fun with her
but who loves her really?
Theme: Voice, Expression & Language (69)
0
0
3
3.6K
18 / 34: mohabbat
zindagi yuunhi bahut kam hai
mohabbat ke liye
ruuTh kar vaqt ganvaane ki
zaroorat kya hai
as it is, life is
too short for loving
why get upset and
waste it all away
Anonymous
Theme: Life, Living & Dying (115)
0
0
1
1.8K
19 / 34: mohabbat
aye mohabbat
tere anjaam pe rona aaya
jaane kyun aaj
tere naam pe rona aaya
o love, i wept
at your outcome
not sure why, i wept
hearing your name today
Theme: Loneliness, Solitude & Grief (104)
0
0
0
1.9K
20 / 34: mohabbat
mohabbat ke liye dil dhoondh
koi tootne wala
ye woh mai hai jise rakhte hain
naazuk aabginon mein
for love, seek a heart
that is fragile
this wine is meant for
delicate goblets
Theme: Heart, Mind & Memory (62)
0
0
0
3.5K
21 / 34: mohabbat
mohabbat ko chhupaaye laakh
koyi chhup naheen sakti
ye woh afsaana hai jo
bekahe mashhoor hota hai
how much ever they hide love
none can really hide it
this is a story, unspoken,
becomes well-known
0
0
0
3.9K
22 / 34: mohabbat
dil mein na ho jurat
to mohabbat nahi milti
khairaat mein itni baDi
daulat nahi milti
when there is no boldness in the heart
love cannot be obtained
in alms, such a treasure
cannot be obtained
1
0
0
1.9K
23 / 34: mohabbat
na kar 'sauda' tu shikva
hum se dil ki beqaraari ka
mohabbat kis ko deti hai, miyaan,
aaraam sukoon duniya mein?
don't complain, sauda,
about your heart's restlessness
for whom has love given
peace and quiet in this world?
0
0
0
2.3K
24 / 34: mohabbat
aur bhi dukh hain zamaane mein
mohabbat ke siva
rahatein aur bhi hain
wasl ki raahat ke siva
there are other sorrows
in this life than love’s longing
there are other comforts too
than the union with the beloved
Theme: Life, Living & Dying (115)
0
0
0
4.5K
25 / 34: mohabbat
mohabbat rang de jaati hai
jab dil dil se milta hai
magar masla to ye hai
dil baDi mushkil se milta hai
love makes life colorful
when two hearts meet
but what is difficult
is for two hearts to meet
0
0
0
2.6K
26 / 34: mohabbat
bahaaron ki nazar mein
phool aur kaante barabar
mohabbat kya karenge
dost dushman dekhne waale
in the eyes of nature
flowers and thorns are the same
how can one ever love, thinking
in terms of friends and foes
Theme: Nature, World & Universe (47)
1
0
0
4.3K
27 / 34: mohabbat
mohabbat karne vaale
kum na honge
teri mehfil mein lekin
hum na honge
there will be no shortage
of those that love you
but in your celebration
alas, i won’t be there
Theme: Friends, Family & Community (117)
1
0
3
3.8K
28 / 34: mohabbat
mere taaviz mein
jo kaagaz hai
us pe likha hai
mohabbat karna
on the piece of paper
in my lucky amulet
it is written…
just love
Theme: Love, Passion and Longing (107)
0
0
1
4.5K
29 / 34: mohabbat
hum dard ka afsaana
duniya ko suna denge
har dil mein mohabbat ki
ek aag laga denge
i will make the world
listen to the tales of woe
in every heart i will
light a fire of love
0
0
2
2.0K
30 / 34: mohabbat
mohabbat ki dastaan
lambi hai
par
waqt kum
the story of love
is long
but…
time is short
Anonymous
Theme: Love, Passion and Longing (107)
0
0
0
4.4K
31 / 34: mohabbat
yeh kehna tha un se
mohabbat hai mujh ko
yeh kehne mein mujh ko
zamaane lage hain
all i wanted to say was
that i am in love
for me to say this
took a lifetime
love
Theme: Love, Passion and Longing (107)
1
0
1
2.3K
32 / 34: mohabbat
kahaan ke ishq-o-mohabbat
kidhar ke hijr-o-visaal
abhi to log taraste hain
zindagi ke liye
where this love and passion
where this separation and union
right now, people just
long for life
0
0
0
4.2K
33 / 34: mohabbat
jaan jaane ko hai
aur raqs mein parvaana hai
kitna rangeen
mohabbat tera afsaana hai
life is about to end
but the moth is still dancing
oh, how colorful
is your love story
0
0
0
3.0K
34 / 34: mohabbat
tumhaare ahd-e-wafa ko
main ahd kya samjhoon
mujhe khud apni
mohabbat pe eitbaar naheen
your promise of faithfulness
how should i understand it
when i have no faith
in my own love
Theme: Miscellany (44)
0
0
0
4.6K
423 Shaayars
Urdu Poetry, Simply Told
classic Urdu shers with simple translations, poetic insights, and mini-dictionaries for every poetry lover...
A heartfelt collection of Classic Urdu shers...
Alfaaz Ki Mehfil is a curated space for timeless poetry celebrating words, emotions, and the enduring beauty of expression. From classic Urdu couplets to modern reflections, it brings together generations of poetic voices that speak of love, longing, hope, and the human soul.