14 Urdu ash'ar / shaayari (shers, couplets) containing the word:
1 / 14: khayaal
yaad-e-butaan naheen ke
khayaal-e-khuda naheen
sab kuchh bashar ki dil mein hai
aye shaikh, kya nahin?
no memory of idols
nor any thought of god
all is within the human heart
what is not there, o preacher?
0
0
0
17
2 / 14: khayaal
dil-e-ushshaaq
kyun na ho raushan
jab khayaal-e-sanam
charaagh hua
why wouldn't
the lovers' hearts be radiant
when the thought of the beloved
lights up like a flame
0
0
0
23
3 / 14: khayaal
rahegi aab-o-hava mein
khayaal ki bijli
bahaar-e-aalam-e-faani
rahe, rahe na rahe
the lightning of thought
shall remain forever
whether the beauty of this
fleeting world stays or fades away
0
0
1
32
4 / 14: khayaal
kuchh to khayaal kar
meri umr-e-daraaz ka
sadiyon guzar gayi hain
tere intezaar mein
show some concern
for this endless life of mine
ages have gone by
just waiting for you
0
0
1
40
5 / 14: khayaal
taqleed ke khayaal ka
qaidi hai aaj bhi
zehn ke paaon ki zanjeer jo
kaaTe vo tabar paida kar
even today, you are a
prisoner of conformity
make the axe that breaks
the shackles of your intellect
0
0
3
46
6 / 14: khayaal
ek khwaab ka khayaal hai
duniya kahen jise
hai is mein ek tilism
tamanna kahen jise
the thoughts of a dream
that which we call the world
in this there is a spell
that which we call desire
Theme: Life, Living & Dying (115)
0
0
0
2.3K
7 / 14: khayaal
duniya ke har khayaal se
begaana kar diya
husn-e-khayaal-e-yaar ne
deewaana kar diya
it made me indifferent
to every thought of the world
beauty of the thoughts of my beloved
has driven me crazy indeed
Theme: Heart, Mind & Memory (62)
0
0
5
2.8K
8 / 14: khayaal
humko maloom hai
jannat ki haqeeqat lekin
dil ko khush rakhne ko 'ghalib'
yeh khayaal achchha hai
i do understand
the truth about heaven, but
to keep my heart happy, ghalib
it is a comforting thought
Theme: Religion, Reason & Tradition (63)
0
0
0
3.2K
9 / 14: khayaal
tod diya tasbeeh ko
is khayaal se ‘faraz’
kya gin gin ke nam lena uska
jo behisaab deta hai
i broke the prayer rosary
with this thought, ‘faraz’
why count and pray to one
who gives without keeping an account
0
0
2
4.3K
10 / 14: khayaal
aqaa’ed vahm hai mazhab
khayaal-e-khaam hai saaqi
azal se zehn-e-insaan
basta-e-auhaam hai saaqi
religion but a fanciful belief
a string of delusions
forever the human mind has been
hostage to a bundle of superstitions
0
0
2
2.2K
11 / 14: khayaal
jab yaar ne uTha kar
zulfon ke baal baandhe
tab main ne apne dil mein
laakhon khayaal baandhe
when my beloved raised her arms
to gather up her tresses (hair)
i tied up a million desires
in my heart
1
0
1
2.6K
12 / 14: khayaal
thi woh ik shakhs ke
tasavvur se
ab woh
raanaai-e-khayaal kahaan
that was triggered by
imagining a person
where is that
fantasy now?
Theme: Creativity, Philosophy & Enlightenment (36)
0
0
0
2.9K
13 / 14: khayaal
jalte hain ik charaagh ki lau se
kayi charaagh
duniya tere khayaal se
raushan hui to hai
with just one lamp
many lamps are lit
the whole world is brightened
just by the thought of you
Theme: Creativity, Philosophy & Enlightenment (36)
0
0
1
4.0K
14 / 14: khayaal
baad-go main raha
rahine-sitmaha-e-rozgaar
lekin tere khayaal se
ghafil nahin raha
though i was a prisoner
to the cruelties of daily life
i never lost
the thoughts of you
0
0
1
3.1K
423 Shaayars
Urdu Poetry, Simply Told
classic Urdu shers with simple translations, poetic insights, and mini-dictionaries for every poetry lover...
A heartfelt collection of Classic Urdu shers...
Alfaaz Ki Mehfil is a curated space for timeless poetry celebrating words, emotions, and the enduring beauty of expression. From classic Urdu couplets to modern reflections, it brings together generations of poetic voices that speak of love, longing, hope, and the human soul.