6 Urdu ash'ar / shaayari (shers, couplets) containing the word:
1 / 6: saaqi
duur se aaye thay, saaqi
sun ke maikhaane ko hum
bas taraste hi chale afsos
paimaane ko hum
we have come from afar, o wine-pourer,
hearing of your tavern
and, regretfully, we left
thirsting for a single cup
0
0
0
42
2 / 6: saaqi
dard-e-sar hai
khumaar se mujh ko
jald le kar sharaab
aa saaqi
the intoxication has
left me with a hangover
quickly, o wine-pourer,
fetch me another drink
0
0
0
43
3 / 6: saaqi
tez hai aaj
dard-e-dil, saaqi
talkhi-e-mai ko
tez-tar kar de
it is sharper today
the pain of my heart
strengthen the wine
oh cup-bearer
0
0
0
85
4 / 6: saaqi
jab jaam diya tha saaqi ne
jab daur chala tha mehfil mein
ik hosh ki saa'at kya kahiye
kuch yaad rahi kuch bhool gaye
when the wine-pourer handed me the cup
when the drinks were flowing freely
what to say of that moment of awareness
some things remembered, some forgotten
0
0
0
54
5 / 6: saaqi
ho mohtaseeb ki khair
uncha hai usi ke naam se
rind ka saaqi ka mae ka
khum ka paemaane ka naam
may god (or critics) be blessed
it is because of them
the drunkard, wine-pourer, wine
cask and goblet have gained fame
0
0
0
4.5K
6 / 6: saaqi
aqaa’ed vahm hai mazhab
khayaal-e-khaam hai saaqi
azal se zehn-e-insaan
basta-e-auhaam hai saaqi
religion but a fanciful belief
a string of delusions
forever the human mind has been
hostage to a bundle of superstitions
0
0
2
2.2K
423 Shaayars
Urdu Poetry, Simply Told
classic Urdu shers with simple translations, poetic insights, and mini-dictionaries for every poetry lover...
A heartfelt collection of Classic Urdu shers...
Alfaaz Ki Mehfil is a curated space for timeless poetry celebrating words, emotions, and the enduring beauty of expression. From classic Urdu couplets to modern reflections, it brings together generations of poetic voices that speak of love, longing, hope, and the human soul.