11 Urdu ash'ar / shaayari (shers, couplets) containing the word:
1 / 11: dariya
vaaiz ki aankhen khul gayi
peete hi, saaqiya
ye jaam-e-mai tha ya koyi
dariya-e-noor tha?
soon as he sipped the wine, o cup-bearer,
the preacher was awakened
was that a goblet of wine, or
radiant river of light?
0
0
0
46
2 / 11: dariya
dil apni talab mein saadiq tha
ghabra ke suu-e-matloob gaya
dariya se ye moti nikla tha
dariya hi mein ja kar Doob gaya
heart was loyal to its desire
anxious, went to see its beloved
the pearl came out of the river
but drowned in the river itself
0
0
0
4.7K
3 / 11: dariya
band ho jaata hai kuuze mein
kabhi dariya bhi
aur kabhi qatra samundar mein
badal jaata hai
even a river can get
trapped and confined in a jar
and, a drop of water can get
transformed when part of an ocean
0
0
0
4.8K
4 / 11: dariya
paani mein aks
aur kisi aasmaan ka hai
ye naav kaun si hai
ye dariya kahan ka hai
the mountain of needs
won’t let me get tired
my children
won’t let me grow old
0
0
0
2.3K
5 / 11: dariya
ham ko bharam ne
bahr-e-tavahhum bana diya
dariya samajh ke kuud paDe
hum saraab mein
doubt has turned me into
an ocean of superstition
thinking it is a river,
i jumped headlong into a mirage
0
0
1
3.8K
6 / 11: dariya
chaand bhi hairaan
dariya bhi pareshaani mein hai
aks kis ka hai ki
itni raushni paani mein hai
the moon is agitated
the river is troubled too
whose reflection is this
that the waters are filled with light
Theme: Nature, World & Universe (47)
0
0
0
3.8K
7 / 11: dariya
kitne dinon ke
pyaase honge yaaro socho to
shabnam ka qatra bhi
jin ko dariya lagta hai
imagine for how long
they have been parched
for whom even a dew drop
seems a river
0
0
0
2.5K
8 / 11: dariya
agarche roz mera
sabr aazmaata hai
magar ye dariya
mujhe tairna sikhaata hai
though, every day
it tests my patience
yet, this river
teaches me to swim
0
0
1
4.6K
9 / 11: dariya
kaun Doobega
kise paar utarna hai, 'zafar'
faisla waqt ke dariya mein
utar kar hoga
who will drown, zafar, and
who will cross to the other side
that will be decided only
after diving into the river of time
river
decision
time
sink
crossover
cross over, get off
Theme: Nature, World & Universe (47)
0
0
0
1.8K
10 / 11: dariya
seene ka daagh hai woh naala
ke lab tak na gaya
khaak ka rizq hai woh qatra
ke dariya na hua
it remains a scar on the heart
the lament that didn’t reach the lips
it remains a part of the dust
the drop that doesn’t become the river
0
0
1
1.7K
11 / 11: dariya
hausla hai to
safinon ke alam lahraao
bahte dariya to chalenge
isi raftaar ke saath
if you have the courage
unfurl the sails of your boat
the flowing river
will continue at its own pace
0
0
0
2.2K
423 Shaayars
Urdu Poetry, Simply Told
classic Urdu shers with simple translations, poetic insights, and mini-dictionaries for every poetry lover...
A heartfelt collection of Classic Urdu shers...
Alfaaz Ki Mehfil is a curated space for timeless poetry celebrating words, emotions, and the enduring beauty of expression. From classic Urdu couplets to modern reflections, it brings together generations of poetic voices that speak of love, longing, hope, and the human soul.