19 Urdu ash'ar / shaayari (shers, couplets) containing the word:
1 / 19: intezaar
aye noor-e-jaan-o-deeda
tere intezaar mein
muddat huyi palak se palak
aashna naheen
o radiance of my soul and sight,
while longing for you
my eyes haven't closed
in ages
0
0
0
35
2 / 19: intezaar
kuchh to khayaal kar
meri umr-e-daraaz ka
sadiyon guzar gayi hain
tere intezaar mein
show some concern
for this endless life of mine
ages have gone by
just waiting for you
0
0
1
40
3 / 19: intezaar
mujh ko ye aarzoo
woh uThaayein naqaab khud
un ko ye intezaar
taqaaza kare koyi
it is my desire
that she lifts the veil herself
and she waits for
someone to request
0
0
0
51
4 / 19: intezaar
na koyi vaada, na koyi yaqeen
na koyi ummeed
magar humein to
tera intezaar karna tha
no promise, no assurance
no hope
yet, i had to
keep waiting for you
0
0
2
85
5 / 19: intezaar
ye kaisa nasha hai
main kis ajab khumaar mein huun
tu aa ke jaa bhi chuka hai
main intezaar mein huun
what is this intoxication
what is this strange dizziness
you had come and gone
and i am still waiting
Theme: Loneliness, Solitude & Grief (104)
1
0
3
4.0K
6 / 19: intezaar
hairaan huun is qadar ki
shab-e-wasl bhi mujhe
tu saamne hai
aur tera intezaar hai
i am so surprised to such extent
in this evening of union
that you are in front of me
but i am still waiting for you
1
0
1
3.8K
7 / 19: intezaar
kahin woh aa ke
miTa de na intezaar ka lutf
kahin qubuul na ho jaaye
iltijaa meri
by coming, hope she wouldn’t ruin
my pleasure of waiting
hope she doesn't accept
my pleas for her to come
0
0
2
2.6K
8 / 19: intezaar
saadgi toh hamaari zara dekhiye
aitbaar aapke vaade par kar liya
baat toh sirf ek raat ki thi magar
intezaar aapka umr bhar kar liya
please notice my naivete
i believed the promise you made
sure, it was mentioned one night
and i waited for you all my life
Theme: Love, Passion and Longing (107)
1
0
0
2.5K
9 / 19: intezaar
main lautne ke iraade se
jaa rahaa huun magar
safar safar hai
mera intezaar mat karna
i am leaving with the
intent to return, but
journey is a journey,
don’t wait up for me
Theme: Home, Country & Belonging (25)
0
0
2
2.8K
10 / 19: intezaar
jaanta hai ki
woh na aayenge
phir bhi
masroof-e-intezaar hai dil
i know
she will not come
but yet,
my heart is busy waiting
Theme: Loneliness, Solitude & Grief (104)
0
0
4
1.8K
11 / 19: intezaar
maana ki teri deed ke
kaabil nahin hoon main
tu mera shauq dekh
mera intezaar dekh
understand i am not
worthy of your attention
but look at my passion
and at my patience
1
0
1
3.0K
12 / 19: intezaar
umr-e-daraaz maang ke
laaye thay chaar din
do aarzoo mein kaT gaye
do intezaar mein
seeking a long life
i got myself four days
two spent in wanting
and two in waiting
1
0
1
1.7K
13 / 19: intezaar
eh na thi hamaari qismat ke
visaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte
yahi intezaar hota
it wasn’t in my fate
to be with my beloved
had i lived longer, i would
only have waited in vain
Theme: Loneliness, Solitude & Grief (104)
0
0
0
4.8K
14 / 19: intezaar
kis kis tarah ki dil mein
guzarti hai hasratein
hai wasl se zyaada
mazaa intezaar ka
so many kinds of unmet desires
keep coursing through the heart
but there is more fun in the waiting
than there is in the getting
1
0
1
1.8K
15 / 19: intezaar
mujhe khabar thi mera
intezaar ghar mein raha
ye haadsa tha ki main
umr bhar safar mein raha
i knew that those at home
were waiting for me
the misfortune was that i spent
my whole life out traveling
0
0
0
1.9K
16 / 19: intezaar
tha intezaar
maanaenge mil ke diwali
na tum hi laut ke aaye
na waqt-e-shaam hua
was waiting
to celebrate diwali together
neither did you return
nor is it time yet for the celebration
waiting
Theme: Religion, Reason & Tradition (63)
0
0
0
2.1K
17 / 19: intezaar
ik pal ka qurb
ek baras ka phir intezaar
aayi hai january
to december chala gaya
a moment of closeness
and then a year of waiting again
january has come
but december has gone
Theme: Miscellany (44)
0
0
0
3.5K
18 / 19: intezaar
woh chaand keh ke gaya tha
ki aaj niklegaa
to intezaar mein baiTha
huaa huun shaam se main
that moon told me this and left
that she will come out today
i am here all evening
waiting in anticipation
0
0
0
1.6K
19 / 19: intezaar
bas ek shaam ka
har shaam intezaar raha
magar woh shaam
kisi shaam bhi naheen aayi
every evening i waited
for that one evening
but that one evening
did not come on any evening
Theme: Loneliness, Solitude & Grief (104)
0
0
0
3.6K
423 Shaayars
Urdu Poetry, Simply Told
classic Urdu shers with simple translations, poetic insights, and mini-dictionaries for every poetry lover...
A heartfelt collection of Classic Urdu shers...
Alfaaz Ki Mehfil is a curated space for timeless poetry celebrating words, emotions, and the enduring beauty of expression. From classic Urdu couplets to modern reflections, it brings together generations of poetic voices that speak of love, longing, hope, and the human soul.