11 Urdu ash'ar / shaayari (shers, couplets) containing the word:
1 / 11: bazm
na kaafir se khalwat
na zaahid se ulfat
hum ik bazm mein thay
ye sab se judaa the
neither intimacy with the infidel
nor affection for the pious
present in the same gathering
but i remained apart from them all
0
0
0
13
2 / 11: bazm
jalvagar bazm-e-haseenon mein,
hain woh is shaan se
chaand jaise, aye 'qamar',
taaron bhari mehfil mein hain
in the assembly of beautiful ones,
she graces with such presence
like the moon, oh 'qamar',
shines in a star-studded gathering
0
0
1
32
3 / 11: bazm
nigaah-e-shauq sar-e-bazm
behijaab na ho
woh bekhabar hi sahi
itne bekhabar bhi naheen
let the gaze of desire remain
veiled in the heart of the gathering
even if (s)he seems unaware
(s)he is not that unaware
Anonymous
0
0
1
44
4 / 11: bazm
bazm-e-adab-e-hind ke
har gul mein hai khushbu
mulla, gul-e-urdu ki mehak
aur hi kuchh hai
every flower of indian literature
has a wonderful scent
but the fragrance of urdu, mulla,
is something else
2
0
3
4.4K
5 / 11: bazm
aghyaar kyun daakhil hain
bazm-e-suroor mein
maana ki yaar kam hain
par itne to kam nahin
why are strangers allowed
in our gathering of joy
yes, our friends are few
but not so few
2
0
2
3.7K
6 / 11: bazm
muddat huyi hai
yaar ko mehmaan kiye huye
josh-e-qadah se
bazm charaaghaan kiye huye
it has been a while since
i had my friend as a guest
with the gathering all lit up by
the vigor and zeal of wine
1
0
1
3.5K
7 / 11: bazm
phir nazar me phool mehke
dil me phir shamein jalen
phir tasavvur ne liya
us bazm me jaane ka naam
flowers bloomed in sight again
and, again, my heart lit up
when i imagined again
going to the joyful gathering
1
0
2
3.7K
8 / 11: bazm
zindagi jab bhi tere
bazm mein laati hai hamen
yeh zameen chaand se behtar
nazar aati hai hamen
when life brings me to
your gathering
this earth looks to me
more beautiful than the moon
0
0
1
4.3K
9 / 11: bazm
hum na maanenge khamoshi hai
tamanna ka mizaaj
haan bhari bazm mein
woh bol na paayi hogi
i do not concede silence is
the temperament of desire
yes, maybe she couldn’t
speak out in a crowded gathering
0
0
0
3.8K
10 / 11: bazm
jis bazm mein tu naaz se guftaar
mein aawe
jaan kaalbad-e-soorat-e-deewar
mein aawe
in the gathering where you come
speaking with grace
life takes form
and appears all around
0
0
0
1.7K
11 / 11: bazm
nigaah-e-mehr ki garmi hai
raushni dil ki
hai bazm-e-shauq meri
kaamgaar eid ke din
warmth of a compassionate gaze
is the light of the heart
my assembly of enthusiasm
is fortunate on this day of eid
0
0
1
4.3K
423 Shaayars
Urdu Poetry, Simply Told
classic Urdu shers with simple translations, poetic insights, and mini-dictionaries for every poetry lover...
A heartfelt collection of Classic Urdu shers...
Alfaaz Ki Mehfil is a curated space for timeless poetry celebrating words, emotions, and the enduring beauty of expression. From classic Urdu couplets to modern reflections, it brings together generations of poetic voices that speak of love, longing, hope, and the human soul.