22 Urdu ash'ar / shaayari (shers, couplets) containing the word:
1 / 22: manzil
ulfat ki nayi manzil pe chala
baahein Daal ke baahon mein
dil toDne waale, dekh ke chal
hum bhi to paDe hain raahon mein
treading the path of a new romance
entwined in the arms of someone new
oh breaker of hearts, walk with care
i lie, broken, along the road you take
0
0
1
19
2 / 22: manzil
shukriya, ai qabr tak
pahoonchaane waalon, shukriya
ab akele hi chale jaayenge
is manzil se hum
my thanks to all who got
me to the grave, thank you
now, from this station on
i must walk alone
Theme: Life, Living & Dying (115)
0
0
0
33
3 / 22: manzil
vasvase dil mein na rakh
khauf-e-rasan le ke na chal
azm-e-manzil hai to
humraah thakan le ke na chal
don't harbor doubts in your heart
do not carry the fear of the noose
if your aim is the destination
don’t drag fatigue along with you
0
0
0
61
4 / 22: manzil
nairangi-e-siyaasat-e-dauraan
to dekhiye
manzil unhein mili
jo shareek-e-safar na thay
observe the irony of
the politics of this era
those who did not even travel
have reached the destination
0
0
0
40
5 / 22: manzil
guzar ja aqal se aage
ki ye noor
charaagh-e-raah hai
manzil nahin
go past the intellect
for this light
is but an illumination of the path
not the destination
0
0
1
1.9K
6 / 22: manzil
rahbar raahzan na ban jaaye
kahin is soch mein
chup khada hoon bhool kar
raaste mein manzil ka pata
hope the guide doesn’t
turn a robber
as i stand alone in the path
forgetting my destination
0
0
3
2.0K
7 / 22: manzil
talaash-e-talab mein woh lazzat mili hai
dua kar raha hoon ke manzil na aaye
raah-e-aashiqi ka taqaaza yehi hai ke
kashti chale par saahil na aaye
i found so much joy in the seeking of my desire
i am praying the destination never arrives
the demand of the path of love is just this:
boat keeps sailing, but shore is never reached
Anonymous
0
0
0
4.2K
8 / 22: manzil
ek pal ke rukne se
duur ho gayee manzil
sirf hum nahin chalte
raaste bhi chalte hain
when we stopped for a moment
the destination receded away
it isn't just us that's moving
the paths are moving too
0
0
0
2.8K
9 / 22: manzil
jab se mein chala huun
meri manzil pe nazar hai
aankhon ne meri
meel ka patthar nahi dekha
from the time i started walking
my sights were fixed on the goal
my eyes didn’t notice
the milestones along the way
Theme: Quest, Journey & Destination (50)
0
0
0
4.7K
10 / 22: manzil
Thokar kisi patthar se
agar khai hai main ne
manzil ka nishaan bhi
usi patthar se mila hai
the stone that
tripped me
the pointer to my destination
i got from the same stone
Theme: Quest, Journey & Destination (50)
0
0
0
4.5K
11 / 22: manzil
kisi ko ghar se nikalte hi
mil gayi manzil
koi hamaari tarah
umr bhar safar mein raha
some reach their destination
as they set out of their home
but some like me
keep traveling all their lives
Theme: Quest, Journey & Destination (50)
1
0
0
2.4K
12 / 22: manzil
main akela hi chala tha
jaanib-e-manzil magar
log saath aate gaye
aur kaarwaan banta gaya
i started alone
towards the destination
people kept joining
a caravan started forming
1
0
2
1.9K
13 / 22: manzil
justajoo ho to safar
khatam kahan hota hai
yoon to har mod pe
manzil ka gumaan hota hai
for the seeker
the journey never ends
though at every turn
the delusion of destination
goal, destination
journey, travel
quest, longing
suspicion, doubt
Theme: Quest, Journey & Destination (50)
1
0
0
5.0K
14 / 22: manzil
kisi manzil mein bhi
haasil na hua dil ko qaraar
zindagi khwahish-e-nakaam
hi karte guzri
with no achievement in life did
my heart capture peace
my life was spent through a
series of unrequited desires
1
0
2
4.9K
15 / 22: manzil
hasrat ye us
musaafir-e-bekas ke roye
jo thak ke baith jaata
ho manzil ke saamne
shed tears for the unfulfilled
desires of that helpless traveler
who sits tired by the road
with his destination in sight
0
0
0
2.5K
16 / 22: manzil
nahi nigah mein manzil
to justaju hi sahi
nahi visaal mayassar
to aarzoo hi sahi
if the destination is not in sight
the quest is the way
if union with the beloved is not possible
just the desire is the way
0
0
0
2.5K
17 / 22: manzil
mere rahbar mujhko
gumrah kar de
suna hai ke manzil
qareeb aa gayi hai
my guide,
lead me astray
heard that my destination
has drawn closer
0
0
0
2.2K
18 / 22: manzil
manzil milegi
bhaTak kar hi sahi
gumrah to wo hain
jo ghar se nikle hi nahi
we will reach our goal
even if we stray a little
truly lost are the ones who
don't even come out of home
Theme: Quest, Journey & Destination (50)
1
0
0
2.0K
19 / 22: manzil
uqaabi ruuh jab bedaar hoti hai
jawaanon mein
nazar aati hai unko
apni manzil aasmaanon mein
when the soaring hearts
of the youth awaken
then they see their goals
in the skies above
like an eagle, soaring
soul, spirit
awaken, awakened
seen
aatiseen
goal, destination
Theme: Hopes, Aspirations & Dreams (36)
0
0
0
4.2K
20 / 22: manzil
aye rahbar-e-kaamil chalne
tayyaar to hoon par yaad rahe
us waqt mujhay bhatka dena
jab saamne manzil aa jaaye
oh perfect guide, i am on the
path to the beloved, but please
lead me astray
when the destination is near
0
0
0
4.3K
21 / 22: manzil
aye jazba-e-dil gar main chaahoon
har cheez muqaabil aa jaaye
manzil ke liye do gaam chaloon
aur saamne manzil aa jaye
o passion of the heart, if i so desire
all things would appear before me
if i take two steps to my goal
the goal itself comes to meet me
0
0
0
3.0K
22 / 22: manzil
shauq-e-manzil humsafar hai
jazba-e-dil rahbar
mujh pe khud bhi khul naheen paata
kidhar jaata hoon main
passion for destination as companion
emotion of the heart as my guide
even i myself cannot fathom
where i am headed
0
0
1
2.4K
423 Shaayars
Urdu Poetry, Simply Told
classic Urdu shers with simple translations, poetic insights, and mini-dictionaries for every poetry lover...
A heartfelt collection of Classic Urdu shers...
Alfaaz Ki Mehfil is a curated space for timeless poetry celebrating words, emotions, and the enduring beauty of expression. From classic Urdu couplets to modern reflections, it brings together generations of poetic voices that speak of love, longing, hope, and the human soul.