36 Urdu ash'ar / shaayari (shers, couplets) containing the word:
1 / 36: ishq
juun mauj haath maariye
kya bahr-e-ishq mein
saahil, 'naseer', duur hai
aur dam naheen raha
like a wave, for how long can i
swim in this ocean of love
the shore, 'naseer', is far away
and i have no breath left
0
0
0
23
2 / 36: ishq
thay ham to khud-pasand bahut
lekin ishq mein
ab hai wahi pasand
jo ho yaar ko pasand
i used to be so self-absorbed
but in love
i like only that which
my beloved likes
0
0
0
21
3 / 36: ishq
tum na maano
magar haqeeqat hai
ishq insaan ki
zaroorat hai
you may not accept it
but it is the truth
love is a necessity
for a human being
0
0
0
18
4 / 36: ishq
qulzum-e-fikr mein hai
kashti-e-imaan saalim
nakhuda husn hai
aur ishq hai langar apna
in the ocean of thought
the ship of faith remains intact
beauty is the boatman
and our love is the anchor
0
0
0
29
5 / 36: ishq
mil-milaa ke donon ne
dil ko kar diya barbaad
husn ne kiya bekhud
ishq ne kiya aazaad
together, the two of them
ruined my heart
beauty intoxicated me
love set me free
0
0
0
14
6 / 36: ishq
shaghl behtar hai
ishq-baazi ka
kya haqeeqi o
kya majaazi ka
the best occupation
is that of love
whether divine or worldly
doesn't matter
0
0
0
35
7 / 36: ishq
jise ishq ka teer
kaari lage
use zindagi kyoon
na bhaari lage
one who is struck
by love's sharp arrow
how could life
not feel heavy to them?
0
0
0
33
8 / 36: ishq
ham ishq ke bande hain
mazhab se naheen waaqif
gar kaaba hua to kya
butkhaana hua to kya
we are devotees of love
not of religions, nor of dogmas
whether it is a mosque or a temple
what difference does it make?
0
0
0
11
9 / 36: ishq
tujhe kuchh ishq-o-ulfat
ke siva bhi yaad hai, aye dil
sunaaye ja raha hai
ek hi afsaana barson se
do you remember anything besides
love and longing, my heart?
you've been recounting
the same old fable for ages
0
0
0
14
10 / 36: ishq
visaal-e-yaar se
doonaa hua ishq
maraz baDhtaa gaya
juun juun dawa ki
my love doubled after
the union with the beloved
with every dose of the cure
my illness grew
0
0
0
8
11 / 36: ishq
mere humnafas, mere humnava
mujhe dost ban ke dagha na de
main hoon dard-e-ishq se jaan-ba-lab
mujhe zindagi ki dua na de
oh my companion, my soulmate
deceive me not posing as a friend
i am already dying from the pain of love
don't curse me more with prayer for life
0
0
1
113
12 / 36: ishq
jazba-e-ishq salaamat
hai to, insha allah
kacche-dhaage se
chale aayenge sarkaar bandhe
if the passion of love
remains intact, insha allah
the beloved will come
bound by even a fragile thread
0
0
0
130
13 / 36: ishq
kabhi ishq karo aur phir dekho
is aag mein jalte rehne se
kabhi dil par aanch nahin aati
kabhi rang kharaab nahin hota
fall in love once...and see
why burning in this fire
never scorches the heart
never fades the colors
0
0
1
70
14 / 36: ishq
chalne ka hausla naheen
rukna muhaal kar diya
ishq ke is safar ne to
mujh ko niDhaal kar diya
lack the courage to move forward
yet, stopping is now impossible
the journey of love
has left me weary, exhausted
0
0
1
4.2K
15 / 36: ishq
hota hai raaz-e-ishq-o-mohabbat
unhi se faash
aankhen zubaan naheen hain
magar bezubaan naheen
the secret of love and affection
is revealed through them
eyes are not tongues
but they are not voiceless either
0
0
0
4.0K
16 / 36: ishq
ishq se tabiyat ne
zeest ka mazaa paya
dard ki dawa paayi
dard-e-bedawa paaya
from love did my being
find the joy and fun of life
found a cure for pain
found a pain without a cure
0
0
1
3.3K
17 / 36: ishq
arz-e-niyaaz-e-ishq
ke qaabil nahin raha
jis dil pe naaz tha mujhe
vo dil nahin raha
no longer worthy
of the blessings of love
the heart i was once proud of
that heart is no more
0
0
0
3.9K
18 / 36: ishq
ye zard zard chehra
ye laghari badan mein
kya ishq mein hua hai
ai ‘mir’ haal tera
your face so pale
and body so frail
what love is it, ‘mir’,
that got you to this state
1
0
0
3.3K
19 / 36: ishq
maraz-e-ishq jise ho
use kya yaad rahe
na dava yaad rahe
aur na dua yaad rahe
what can he remember
one afflicted by love
neither the medication
nor the blessing
0
0
0
2.7K
20 / 36: ishq
ishq ka zauq-e-nazaara
muft mein hai badnaam
husn khud betaab hai
jalwa dikhaane ke liye
love gets a bad rap needlessly
for the pleasure of watching
though beauty herself is impatient
for her splendor to be seen
0
0
1
4.5K
21 / 36: ishq
dil ko rafiq ishq mein
apna samajh na 'zauq'
Tal jaayega ye apni balaa
tujh pe Daal kar
in love, don’t mistake your
heart to be your friend, ‘zauq’
it will dump its troubles
on you and flee
Theme: Heart, Mind & Memory (62)
0
0
0
4.3K
22 / 36: ishq
kya ajab kaar-e-tahayyur hai
supurd-e-naar-e-ishq
ghar mein jo tha bach gaya
aur jo naheen tha jal gaya
what a work of wonder is
surrendering to the fire of love
those in the house were saved
those that weren’t got burnt
1
1
0
2.8K
23 / 36: ishq
aql se sirf
zehn raushan tha
ishq ne dil mein
raushni ki hai
reason just
lit up the mind
love filled my
heart with light
1
0
1
4.8K
24 / 36: ishq
ye ishq ke khutoot bhi
kitne ajeeb hain
aankhen vo paDh rahi hain
jo tahreer bhi nahin
how strange are these
love letters
the eyes read even when
there is no writing
1
0
2
4.6K
25 / 36: ishq
izhaar-e-ishq us se
na karna tha ‘shefta’
ye kya kiya ki
dost ko dushman bana diya
you shouldn't have expressed
your love to her, shefta
look what you've done
turned a friend into an enemy
Theme: Love, Passion and Longing (107)
0
0
4
2.0K
26 / 36: ishq
azeeyyat museebat
malaamat balaayen
tere ishq mein humne
kyaa kyaa na dekha
torment, travails
accusations, calamities
in your love, what all
have i not experienced
0
0
0
3.5K
27 / 36: ishq
hua hai ishq mein kam
husn-e-ittefaaq aisaa
ki dil ko yaar toh
dil yaar ko pasand hua
rarely did it happen in love
such a beauty of luck
when heart loved the beloved
and beloved the heart
Anonymous
Theme: Love, Passion and Longing (107)
0
0
0
4.5K
28 / 36: ishq
jo raah-e-ishq mein
qadam rakkhe
vo nasheb-o-faraz
kya jaane
those who choose to
travel on the path of love
what would they know
of ups and downs
0
0
0
2.4K
29 / 36: ishq
ishq par zor nahin
hai ye wo aatish, ghalib
ki lagaaye na lage
aur bujhaaye na bane
we have no power over love,
it is a burning fire, ghalib
lights up without being lit, and
once lit, can’t be extinguished
Theme: Love, Passion and Longing (107)
1
0
1
4.6K
30 / 36: ishq
agar baazi ishq ki baazi hai
jo chaho lagado dar kaisa
agar jeet gaye to kya kahna
haaray bhi to baazi maat nahi
if the gamble is of love
bet what you want, why fear
if you win, nothing like it
even if you lose, it is not a loss
Theme: Love, Passion and Longing (107)
0
0
1
2.6K
31 / 36: ishq
hoshwalon ko khabar kya
bekhudi kya cheez hai
ishq ki jaye phir samajhiye
zindagi kya cheez hai
how can sane people know
what ecstasy is all about
love and figure out
what life is all about
2
0
1
2.8K
32 / 36: ishq
kahaan ke ishq-o-mohabbat
kidhar ke hijr-o-visaal
abhi to log taraste hain
zindagi ke liye
where this love and passion
where this separation and union
right now, people just
long for life
0
0
0
4.2K
33 / 36: ishq
ishq mein bhi
siyaasaten nikli
qurbaton mein bhi
faasla nikla
in love too
politics arose
in even closeness
distances emerged
love
politics
closeness, proximity
distance
turned out, came out
Theme: Friends, Family & Community (117)
0
0
0
4.0K
34 / 36: ishq
woh log bahut
khush-qismat thay
jo kaam ko
ishq samajhte thay
those were
most fortunate
who saw work
as their love
Theme: Love, Passion and Longing (107)
0
0
1
4.1K
35 / 36: ishq
ishq ki choT ka kuchh
dil pe asar ho to sahi
dard kam ho ya zyaada ho
magar ho to sahi
let love’s hurt have
some effect on the heart
whether the pain is less or more
let there at least be some
0
0
4
2.8K
36 / 36: ishq
ek ishq hai ki jis ki gali
ja raha huun main
aur dil ki dhaDkanon se bhi
ghabra raha huun main
there is this love
who’s street i am going to
and i am terrified
of my own heartbeat
Theme: Love, Passion and Longing (107)
0
0
0
4.4K
423 Shaayars
Urdu Poetry, Simply Told
classic Urdu shers with simple translations, poetic insights, and mini-dictionaries for every poetry lover...
A heartfelt collection of Classic Urdu shers...
Alfaaz Ki Mehfil is a curated space for timeless poetry celebrating words, emotions, and the enduring beauty of expression. From classic Urdu couplets to modern reflections, it brings together generations of poetic voices that speak of love, longing, hope, and the human soul.